NOHA - L Y R I C S ●
- Mere husain mujhe itni zindagi de de kisi bhi haal me bas karbala pohuch jaau Hon Zulmaton say Pareshan Roshni Dede kisi bhi haal me bas karbala pohuch jaau Dua'e fatema ZAHRA s.a hu'n ye bhi yaad rahe Bicha ke farshe aza dil Hamesha shad rahe Ghamo'n ki shakl me sabse badi khushi de de kisi bhi haal me bas karbala pohuch jaau Naseeb bigda hua hai use bana Maula Ho kayenat me phir se misaale Hur zinda Dayare Noor me kuch waqt naukri de de kisi bhi haal me bas karbala pohuch jaau Mai dil ka haal zabani sunana chahta hu Zareeh thaam ke sab kuch batana chahta hu Is arbaeen pa tu izne haaziri de de kisi bhi haal me bas karbala pohuch jaau Mila husain ka khat to habeeb kehne lage Sharaf hai yusufe ZAHRA s.a bula rahe hen mujhe Shabab fir se mujhe shai ki dosti de de kisi bhi haal me bas karbala pohuch jau Safar bahisht ka ho jaye jald ab tayyar Bana de ae mere khaliq husain ka zawwar Jo khatm ho na badan ko wo tazgi de de kisi bhi haal me bas karbala pohuch jaau Mai dekhu'n kaise uthaya tha lasha'e akbar Lahu sagher ka kaise mala tha chehre per Tasawwuraat ki aankho'n ko raushni de de kisi bhi haal me bas karbala pohuch jaau Dua ye karti thi sughra watan me ro rokar Naseeb dekhna ho mujhko chehraye Akbar Mareeze hijr hu'n kuch der ko khushi de de kisi bhi haal me bas karbala pohuch jaau Adab ki bheek de shahe adeeb ka roza Mareeze ishq hu Dekhu'n tabeeb ka roza Phir uske baad khuda chahe maut he de de kisi bhi haal me bas karbala pohuch jaau Jabeene naaz ko akbar me dar pa rakkhunga Utha ke khak ko abbas sar pa rakkhunga Charag hon mujhe Suraj ki roshni dede Kisi bhi haal me bas karbala pohuch jaau A B A S S - S I R S V I
Comments
Post a Comment