ABBAS ALAM DAR – 2
Kehte Hai Jise Misle Ali Saniye Jafar
Uska Ye Alam Hai – 2
Mashhoor Jo Duniya Me Hai Abbas Se Dilawar
Uska ye alam hai – 2
Mashhoor jo duniya me hai abbas se dilawar
Uska ye alam hai – 2
(1)
Farmati Thi Zehra Jise Dil Band H Mera - 2
Farzand hai mere - 2
Kehte hai jise lakhte jigar shafa e mehshar
Uska ye alam hai - 2
Mashhoor jo duniya me hai abbas se dilawar
Uska ye alam hai – 2
(2)
Dhaaras thi badi jisse shahe jinno bashar ko – 2
Zehre ke pisar ko – 2
Saye ki tarha sath jo rehta tha baradar
Uska ye alam hai – 2
Mashhoor jo duniya me hai abbas se dilawar
Uska ye alam hai – 2
(3)
Dariya jo nazar aya to yaad ayi Sakina – 2
Or Uska tadap na – 2
Pyasa hi phira nehar se mashkiza jo bhar kar
Uska ye alam hai – 2
Mashhoor jo duniya me hai abbas se dilawar
Uska ye alam hai – 2
(4)
Jiss sher ke shano ko sitamgaro ne kata – 2
Waa hasrato darda
Dopara hua gurz se jiska ser e anwer
Uska ye alam hai – 2
Mashhoor jo duniya me hai abbas se dilawar
Uska ye alam hai – 2
(5)
Iss shaan ka safdar koi hoga na hua hai -2
Kehna ye baja hai – 2
Ki jisne vigha danto me talwar daba kar
Uska ye alam hai – 2
Mashhoor jo duniya me hai abbas se dilawar
Uska ye alam hai – 2
(6)
Jiss sher ne muh wada wafai se na mora – 2
Mashkiza na choda – 2
Dariya pa baha jiska lahu pani me milkar
Uska ye alam hai – 2
Mashhoor jo duniya me hai abbas se dilawar
Uska ye alam hai – 2
(7)
Aaghosh me lekar sir e Majruhe baradar -2
Uss jalti zami per -2
Rooye jise bete ki tarha sibte payamber
Uska ye alam hai – 2
Mashhoor jo duniya me hai abbas se dilawar
Uska ye alam hai – 2
(8)
Kiss tarha nisha’n uska na har saal uthaye -2
Or ashq bahaye’n – 2
Shio ko jo lejayega abid suve kosar
Uska ye alam hai – 2
Mashhoor jo duniya me hai abbas se dilawar
Uska ye alam hai – 2
Comments
Post a Comment