Shaan e Mola Abbas Qaseeda by Ali Akber Ameen
💐💐 LYRICS. 💐💐
Teen Imamon ney milkar
jo parha hai barabar
vo anokha vazeefa hai Abbas
Jisko Khaliq ney diya
Masumeen ney parha
vo Ilaahi qassida hai Abbas
Bola Alif "ا" Almaas hai yeh
Bey "ب" sey behen ki aas hai yeh
Tey "ت" sey tamanna Haider ki
Pyasson ka ehsaas hai yeh
Sey "ث" sey samar-e-Ali
Jim "ج" bola hai Jari
Hai "ح" sey husn ka jalwa hai Abbas
Jisko Khaliq ney diya
Masumeen ney parha
vo Ilaahi qassida hai Abbas
Khey "خ" ney kahan khurseed hai yeh
Daal "د" sey layak-e-deed hai yeh
Zaal "ذ" sey jaissey zehnon mei
Ehlaan-e-Tawheed hai yeh
Rey "ر" sey rownak hai run ki
Zey "ز" sey Zehra hai kehti
Missley Hasnain beta hai Abbas
Jisko Khaliq ney diya
Masumeen ney parha
vo Ilaahi qassida hai Abbas
Sin "س" pukari Saqqa hai
Shin "ش" sey Sheh ka Sheyda hai
Swad "ص" pukara surat mei
Chand sey acha lagta hai
Zwâd "ض" bola hai yeh Zaigham
Jab uthata hai yeh Parcham
Missley Haider ke lagta hai Abbas
Jisko Khaliq ney diya
Masumeen ney parha
vo Ilaahi qassida hai Abbas
Ayn "ع" pukara ilm-o-adab
Mey rakhta hai shan ajab
Ghain "غ" pukara Ghairon ki
Maut hai iska ghaiz-o-ghazab
Fey "ف" sey faujon ko akela
Hai nigahon pei utha ta
Vo bahadur Jiyala hai Abbas
Jisko Khaliq ney diya
Masumeen ney parha
vo Ilaahi qassida hai Abbas
Qaf "ق" pukara Qur'an ki
Laaj hai iski qurbani
Kaf "ك" pukara Karbal mei
Laakhon pei tha yeh bhari
Laam "ل" bola hai yeh Lewa
Apney kandhe pei sadaa
Missley Jaffar ke rakhta hai Abbas
Jisko Khaliq ney diya
Masumeen ney parha
vo Ilaahi qassida hai Abbas
Mîm "م" pukari Maula hai
Noon "ن" sey noori lagta hai
Waaw "و" sey waah wafadaari
Ka yeh Payambar lagta hai
Hey "ه" Pukari ke hawa'ein
Kyun na sehmi sehmi ja'ein
Labey Nehr jo soya hai Abbas
Jisko Khaliq ney diya
Masumeen ney parha
vo Ilaahi qassida hai Abbas
Hamza "ء" bola hamza hai
Faujon sey kab darta hai
Yey "ى" ney kahan Yabnaz-Zahra
Yusuf sey bhi acha hai
Iska dushman ho barbaad
Bani Hashim ka hai Chand
Husn mei aysa yakta hai Abbas
Jisko Khaliq ney diya
Masumeen ney parha
vo Ilaahi qassida hai Abbas
Duniya ko batlado "Ameen"
Laal Ali ka aissa hasseen
Chand Bani Hashim ka issey
Kehte hai sab Masumeen
Chand-o-Suraj hai sabhi
Iss sey letey roshni
Vo ujalon ka Hira hai Abbas
Jisko Khaliq ney diya
Masumeen ney parha
vo Ilaahi qassida hai Abbas
Mohtaj e Dua
Comments
Post a Comment