New Manqabat 2018
Ali Ali Haider (as)
Reciter | AliAkbar Ameen
Poet | Salman Azmi
LYRICS
Gunje jaha may narae Haider 
Bolo Saar e hath uthakar 
AliAli Haider (4)
1) Baat kisi maidan ki karlo 
Mere Nabi ka vo yawar tha
jisko Alam khaiber may Mila tha
rub ki qasam vohi Haider tha
chup Jo yaarane Payamber 
Bol uthega khud he khaiber
2) Dekho faqeeri karke Ali ki 
kitne he sultaan baney hai
Meesum o qambar buzaro ashtar fizza or Salman baney hai
Bo Ali Shah or Rabeya Basri Kehte hai Shehbaz qalandar
3) Chahe Mohammad ki masnad hoe 
Hijrat ki shab ka bistar hoe
Chahe wilayat hoe ya imamat ya vo khilafat ka mimber hoe
Rub ki nazar may mere Ali ka baad e nabi hai pehla number
Charag doshe hawapar jala dia jaae
Phir uske baad koi faisla Kiya jaae
Zaban kaatne wale jaha pa rehte hai
Chalo Ali ka qaseeda wahi padha jaae
4) Koi kahey Hasnain ka baba
Koi kahey zehra ka shohar
Koi imam e waqt pukare 
Koi kahey damad e Payamber
Adam or Isa ka moula 
Rizwan o jibril ka rehber
5) Aaj jisey Kaba Kehte hoe Kal Tak mandir ke jaisa tha
aamad e Haider say pehle Tak jhuthe khudao ka dera tha
tera rajab ko khul kar bola kaabe ki diwaar may ek dar
6) Allah jiska he mola hain uskey mola peghambar
Jis key hain mola peghambar us us k mola hain haider
Kio na pukarain phr molai dam dam har dam mola keh kar
7) Bachpan say he ye hai aqeeda ye he wasila ye he wazifa
Mushkil bhi mushkil may padi hai wird Kia Jo naad e Ali ka
Duniya say be khoufo khatar youn Kehte hai Salman or akbar
#AliAli Haider
#13Rajab Mubarak to All
 
Comments
Post a Comment