MASUM Ke Kaandho'n Pe Janaza hai NAQI ka,
Khoo'n Rota Hai Jo Chaahne Waala Hai NAQI Ka

Pardes Me'n Dhaaya Gaya WO KABAE IMAA'N
Duba hua is Dard Me'n Kunba hai NAQI ka,

Phir ujde hai'n Saadat Qayamat ka hai Manzar,
Ab Sar Pa Kisi Ke Kaha'n Saaya hai NAQI ka

Hai'n Mehwe Buka Zer e Lahad AHMAD O HAIDAR,
Aur lab Pe MASHIYYAT Ke Bhi Nauha hai NAQI ka

Ummat se yu'n phir Binte PAYAMBAR hai'n Sawali,
Kya Dard Hai Kyu'n Chehra Ye Neela hai NAQI ka

Sar peet te aaye hai'n Sabhi saakin e Jannat
Gham Arsh e Mualla pa bhi chhaya hai NAQI ka

Dil Chaak Jigar Chaak Hai is Gham ki Sina'n se
ZAHRA se to puchche koi Gham Kya hai NAQI ka

Kaise Na Andhero'n me'n Jahaa'n Gharq ho saara
Haye Noor hi Duniya se Jab Uth ta hai NAQI ka,

Sab Khaak basar Nauha kuna Ahle 'Wila' hai'n
Masroof e Aza saara Zamana hai Naqi ka...

- Wila Hallauri -
Video Link
👇👇👇👇👇
Vhebvalitgu Raheem Groover Download
ReplyDeletemattningvones