Roz Ziyarat E Aashura Padhne Ka Sawab

-- Ziyarat e Aashura--

Ayatullah Behjat(ra) farmate hai ke mai ne apne ustad Syed Ali Qazni ko khwaab main dekha tou unse pucha: "Kya aap ko koi hasrat mehsoos hoti hai ke kaash dunya mein ye kaam kar liya hota to ?"
Unhone farmaaya: "Ha mujhe hasrat hai kaash main Ziyarat e Aalshura har roz kayi baar padhta"
Dar asl qabr mein utaare jaane ka lamha insaan ke liye bhayaanak tareen hota hai.
Ek shakhs ne Imam jaafar Sadiq(as) se pucha ke mujhe qabr mein jaaane se khauf aata hai, bataaiye mai kya karu?
Aap(as) ne farmaaya: "Zyada se zyada ziyarate ashura padha karo".
Usne pucha:
Ziyarat e Ashura ka qabr mein utare jaane se kya taaluq?
Farmaya: Kya tum ne ziyarat ke aakhir mein nahi padha "Allahummar zuqna shafaatal Hussain yawmul worud"
Aey Allah qabr mein utaare jaane ke waqt Imam Hussain ki shifhaet naseeb ho.
Aap log bhi zyada se zyada ziyarat e Ashura padhen taa ke Imam Hussain(as) yawm e worud ke mauqe pe aapki madad ko aa jaaye.

Ya Allah us haath ko jahannum ki aag se mehfuz rakh jo is paigaam ko aage badhaaye.

ilahi Aameen

SadatTv

Comments