Lyrics _Noha 21 Ramzan Shahadat Mola Ali a.s.w

Noha 21 Ramzan
Bayn karti hai ye Rooh e ZAHRA
zakhmi Masjid me HAIDAR hue hai'n,
Kar rahe hai'n ye Saadaat Nauha
zakhmi Masjid me HAIDAR hue hai'n
Kisne zarbat lagayi ALI ko
Zer e marqad rulaya NABI ko
Ghul hua ahle kufa me barpa
zakhmi masjid me HAIDAR hue hai'n
Arsh hilta hai shor e fugha'n se
Sab hai'n bechain dard e giraa'n se
Kyu'n na ho Nauhagar aaj Kaaba
Zakhmi Masjid me'n HAIDAR hue hai'n
Ghash me'n laaye gaye jab ALI ghar
Roke boli ye  KULSOOM e muztar
Kisne hum pa ghazab aysa dhaaya
Zakhmi Masjid me'n HAIDAR hue hai'n
Nauha e Gham sunaati hai'n ZAINAB
Rukh kiye kehti hai'n suwe Yasrab
Ye Qayamat bhi honi thi Nana
Zakhmi Masjid me'n HAIDAR hue hai'n
Hashr barpa hua Qudsiyo'n me
Gharq Aalam hai tarikiyo'n me
Zarb e zulmat se sar hai do paara
Zakhmi Masjid me'n HAIDAR hue hai'n
Chashm e ABBAS se khoo'n hai jaari
Ghair Haalat hai UMMUL BANI'N ki
Kaise Dil ko sambhaale wo Dukhiya,
Zakhmi Masjid me'n HAIDAR hue hai'n
Gham me'n dubi hai saari Khudaayi
Haaye HASNAIN ki hai Duhaayi
Chaa raha hai yatimi ka saaya
Zakhmi Masjid me'n HAIDAR hue hai'n
Ye zami'n Aasma'n ro rahe hai'n
Chayn dono jaha'n kho rahe hai'n
Chaar su gham hai SHAAHE WILA ka
Zakhmi Masjid me'n HAIDAR hue hai'n
- Wila Hallauri -

Comments