● ● N O H A L Y R I C S ● ●
Haye Baba Haye Baba
Baba Bichad Gaya
Zainab yateem hogai baba bichad Gaya
Ujda hua batool ka Ghar phir ujad Gaya
Hothon bus machalte hue Bain reh Gaye
Tanhaiyon ki bheed may hasnain reh Gaye
Khuch bhoj zimmedariyon ka or badh Gaya
Zainab yateem hogai baba bichad Gaya
Masjid say aaye khoon may Dubey hue Ali
Ranjo Alam ki kufey may esi Hawa chali
Islam ke yaqeen ka khaima ukhad Gaya
Zainab yateem hogai baba bichad Gaya
Syedaniyo ki shamo Sahar gham may dhal gai
Ehle Haram ki eid bhi matam may dhal gai
Her ek khushi pa rang masaeb ka chhad gaya
Baba mujhe bhi qabr talak sath le Chalo
Beti ko maa say behre mulakat le Chalo
Zainab ka is jahan say ab Dil ukhad Gaya
They tar ba tar lahu may Ali apne aap ke
Kulsum dekh dekh ke chehre ko baap ke
Kehti thi aaj apna mukaddar bigad Gaya
Bete say thi Ali ki wasiyat ye baar baar
karna mere Hussain pa Abbas ja'n nisaar
Phir uske baad Sara Badan zard padgaya
Jub kardiya Ali ka janaza supurde khak
Chillai sir ko pit ke rooh e rasul e paak
Durr e najaf zami ki anguthi may jadd Gaya
Akhtar hasan hussain suku'n kaise paengy
Jub tak jiengy khoon ke aasu bahaengy
Mir Hasan Mir -Yun Ro Rahay Hain Daikh Kay Zainab Ko Murtaza - 21 Ramzan Noha
ReplyDelete