Lo Jarahe Hain Aaj Ali ghar ko chod kar



Lo jaa Rahey Hain Aaj Ali ghar ko chod kar.
Ghurbat Me ehlebait E Payamber Ko Chod Kar,






Lyrics Noha Ghurbat Me ehlebait E Payamber Ko Chod Kar, Lo jaa Rahey Hain Aaj Ali ghar ko chod kar. 1) Ghum Ki Fazayen Chayin Hain Har Soo Jahan Me, Hasnain Aaj Aye hain kiss Imtehan Me, Chayi Udasiyan Hain Nabi ke Makan Me, Lo Jaa Rahey Hain Aaj Ali Ghar Ko Chod Kar. Ghurbat Me Ehlebait E Payamber Ko Chod Kar, 2) Bhai Ye Do Jahan Me Rasule Zaman Ke Hain, Be Misl Ye Gulab Nabi Ke Chaman Ke Hain, Shohar Hain Fatima Ke Pidar Ye Hasan Ke Hain, Lo Jaa Rahey Hain Aaj Ali Ghar Ko Chod Kar. Ghurbat Me Ehlebait E Payamber Ko Chod Kar, 3) Kesa sitam hua hai ali par dayar mein, Ruhe janab e zehra nhi hai qarar mein, Bechain mustafa bhi hue hain mazar mein, Lo jaa rahe hain aaj ali ghar ko chod kar. Ghurbat Me ehlebait e Payamber Ko Chod Kar, 4) Matam mein hain Hussain to abbas beqarar, Kulsum roo rahi hain yatimi pe zaar zaar, Khoya imam e waqt ko kufa hai ashq baar, Lo jaa rahe hain aaj ali ghar ko chod kar. Ghurbat Me ehlebait e Payamber Ko Chod Kar. 5) Dubi jabeen lahu se ali ki namaz mein, Khai hai sir pe tegh shaqi ki namaz mein, Halat hui na aysi kisi ki namaz mein, Lo jaa rahe hain aaj ali ghar ko chod kar. Ghurbat Me ehlebait e Payamber Ko Chod Kar. 6) Dushman se bhi khulus se nibhaya imam ney, Sharbat ka thanda jaam pilaya imam ney, Ghaizo ghazab na gussa dikhaya imam ney, Lo jaa rahe hain aaj ali ghar ko chod kar. Ghurbat Me ehlebait e Payamber Ko Chod Kar. 7) Girya kuna falak hai zami sogwar hai, Molaye qainat ka ghum beykanaar hai, Ab dil pe apne kiss ko kaha ikhtiyar hai, Lo jaa rahe hain aaj ali ghar ko chod kar. Ghurbat Me ehlebait e Payamber Ko Chod Kar. 8) Hai kamiyab aaj khuda ki qasam waseem Shabbar ko deke kaare imamat ki roshni, Khud jarahe hain suye jina murtuza ali, Lo jaa rahe hain aaj ali ghar ko chod kar. Ghurbat Me ehlebait e Payamber Ko Chod Kar. 9) Ab kon hoga wali o waris ghareeb ka, Royegi rona aaj faqiri naseeb ka, Dekhenge rasta log nabi ke habib ka, Lo jaa rahe hain aaj ali ghar ko chod kar. Ghurbat Me ehlebait e Payamber Ko Chod Kar. 10) Rote hain hum nadeem o wafa ehlebait par, Jhukte hain buss khuda ke hi agey humare sir, Iss wastey nhi hai zamane me koi der, Lo jaa rahe hain aaj ali ghar ko chod kar. Ghurbat Me ehlebait e Payamber Ko Chod Kar.

www.youtube.com/sadattv

Comments

Post a Comment