● ● M A N Q A B A T L Y R I C S  ● ●
 Rab ka mahina sare jaha per rehmat Wala hai 
Har ek lamha iska khairo barkat Wala hai
Matla 
Sath lekar aagya phir rehmate yazdaan 
Khushnaseebi hai khuda ke ho gaye mehmaan 
 1)
Noorani hai iski Sahar or sham niraali hai 
Raat bhi wo Jo yaade khuda me jaagne wali hai 
Din me bacche or budhe padhte hen qur'aan 
 2)
Noor nazar aata hai chehro'n per Khush rehte hen 
Roza rakhna hai ye maa se bacche kehte hen 
Maa ke bhi honto pa aajati hai phir muskaan 
3)
Sunke Khushi ye ahle jaha  ko behad hoti hai 
Iski 14 ko shabbar ki aamad hoti hai 
Or bhi badh jati hai phir raunaqe ramzaan
4)
Lagti nahi hai roze me bhi bilkul bhukh or pyas 
Karbobala walo ka hota hai jab bhi ehsas 
Rozadaron per 72 ka hai ye ehsaaan 
5)
Rehmat se khaaliq ki tum mayus nhi hona 
Qaid ho Ghar me soch ke ye bilkul bhi nhi Rona
Rab ki qurbat Ghar me rehkar payega insaan
6)
Ahle jaha wo Waqte Sahar ho ya waqte iftaar
Wasta deke aale nabi ka mango Dua har baar 
Sab duwayen wo sunega hai bohtt rehmaan
7)
Dekho ye ramzan ki barkat or uska aana
Khate nahi Jo ghar walo ke sath kabhi khana
8) Ek dastrkhwan ki Sab ban Gaye wo shan
Raahe khuda me Khush hokar Jo fitra dete hen
Rizq me apne khaliq se wo barkat lete hen
Aise logon ko duwayen deta hai ramzan
9)
Rab ne ye abbaso Akbar  izzat bakhshi hai
Shohrat ki Surat me hamko nemat bakhshi hai
Padhte rehte hen yunhi ham suraye Rehmaan 
  
Comments
Post a Comment