Kiski Bacchi Hai Qaidkhane Me Noha Lyrics




Noha Lyrics

Ro Rahi Hai Padar Ko Shamo Sahar

Kiski Bacchi Hai Qaidkhane Me 


Hai Parindo Pa Sirf Jiski Nazar

Kiski Bacchi Hai Qaidkhane Me



1- Gham Ki Parchaaiyon Se Darti Hai 

Ek Ek Sans Jeeti Marti Hai 

Bhool Bethi Hai Sare Gham Lekin

Apne Baba Ko Yaad Karti Hai 

Mangti Hai Jo Bas Husain Ka Sar

Kiski Bacchi Hai Qaidkhane Me



2- Tashnagi Se Badan Sulagta Hai

Khoon Kano Se Bhi Tapakta Hai 

Nannhe Nannhe Se Pair Hen Zakhmi 

Dekhkar Aablon Ko Lagta Hai 

Karke Kanto Pa AA Rahi Hai Safar

Kiski Bacchi Hai Qaidkhane Me



3- Jisko dekho sata raha hai wo bas

Koi khata nhi hai is pa taras

Jane kaise safed Baal huye 

Umr hai iski sirf char baras

AA rahi hai magar zayeef nazar

kiski bacchi hai qaidkhane me



4- Haye kurta Jala hua iska

Or hai Daman phata hua iska

Lag Raha hai bohtt sahe hen sitam

Yu hai chehra bujha hua iska

Dono rukhsar bhi hen khoon me tar

kiski bacchi hai qaidkhane me



5- Itni paidal Kahan ye chalti thi 

Ghar se Bahar Kahan nikalti thi 

Naaz iske sabhi uthate they 

Har ghadi godiyo me palti thi 

Chal rahi hai Jo ab asa lekar

kiski bacchi hai qaid khane me


6- Saaf chehre pa hai safar ki thakan

Qaidkhane me ho rahi hai ghutan

Aag kurte me Jo lagi iske

Uski shiddat se jal Raha hai badan

Jee rahi hai bohtt he ghut ghutkar

kiski bacchi hai qaidkhane me



7- Door hai Zindagi se aabo Hawa

Taaziyane bane hen iski ghiza

Bebasi pa baha KE apni lahu

Apne Marne ki Kar rahi hai Dua

Jaise pathra gayi ho iski nazar

kiski bacchi hai qaidkhane me 



8- Ek Bhai hai wo bhi hai beemar

Marte hen jise bohtt ashraar

Chand saidaniyaa'n hen sath iske

Qaid me wo bhi bekaso lachar

Koi Leta nhi hai iski khabar

kiski bacchi hai qaidkhane me



9- Rassiyaa'n bhi bandhi hen shano se

Ris Raha hai lahu bhi Kano se

Kamsine me wo seh gayi hai sitam

Na sahe Jaye Jo jawano se 

Aa na payi Jo qaid se bahar

kiski bacchi hai qaidkhane me



10- Isko churwane koi aata nahi 

Ghar ko le Jane koi aata nahi

Jo bhi aaye ise satata hai 

Dil ko behlane koi aata nahi

Roti rehti hai ammu keh kehkar

kiski bacchi hai qaidkhane me



11- Kis tarah ho bayan ye roodad

Lo wo zindan Kar gayi aabad

Ghar ki hasrat ko Dil me leke gayi

Na huyi jaan deke bhi aazad

Mar gayi Jo Husain ko rokar

kiski bacchi hai qaidkhane me 

             


Maqta

Kar Raha hu ye ilteja Abbas

Sun Le jaldi ise khuda Abbas

Zain ke sath me ziyarat ho

Hai Faqat ye Meri dua Abbas

Dekh aayenge sham me jakar

kiski bacchi hai qaid khane me

                    ********



About Noha

Recited By - Zain Ali Zaidi (Zaidi Brother's)

Poetry - Abbas Sirsivi

Lyrics by - Sadat Tv Network - STN

Ali Murtaza Baqri


Comments

Post a Comment