Matla
Mazloome karbala tera matam na kar sake
Jis tarha haq tha waise tera gham na kar sake
1- Is saal sabr krke kiya ghar me shaih ka gham
Lekin har ek sans ye khati rahi qasam
Mar jayenge Jo khulke moharram na kar sake
2- Dil khol kar Husain pa girya nhi kia
Aati hai hamko fatema zehra se yu haya
Apna lahu Husain ka marham Na kar sake
3- Bacche ye keh rahe hen sabeeleen lagayenge
Har zayare Husain ko pani pilaayenge
Agle Baras krenge Jo ab ham na kar sake
4- Parcham utha na paye tere taziye ke sath
Matam bhi khul ke kar nhi paye ye dono hath
Jee khol kar in aankhon ko Purnam na kar sake
5- Jeene ka fayeda nhi sanse hen be asar
Seene me dard uthne laga hai ye sochkr
Is saal karbala ka safar ham na kar sake
6- Farshe aza se hamne nibhayi sada wafa
Baccho ko hamne bech ke ki majlise aza
Ghurbat ke dar se gham ye kabhi kam na kar sake
7- Aati hai baar baar labo per yehi dua
Allah sab wo agle Baras jaye karbala
Jo rozaye Husain pa sar kham na kar sake
8- Name Husain sunte he aansu nikal pade
Majlis kahi huyi to usi samt chal pade
Seene me dard jo tha use kam na kar sake
9- Sab nauhakhwan zakire sarwar ye matami
Afsos kr rahe hen isi bat per sabhi
Maula muaaf karna moharram na kar sake
10- Zinda rahe to gham ye manayenge phir ghulaam
Warna hamari samt se hai aakhiri Salam
Nadim rahenge kyu tera matam na kar sake
Maqta..
ABBAS " sach hai fatwo ki be had chali hawa
Jafar " Hasan " they ghaat me sab dushmane aza
Ashke ghame Husain ko be dam na kar Sake
About Noha:-
Recited By - Jafar & Hassan
Poetry - Abbas Sirsivi
Lyrics By - Sadat Tv Network - STN
Comments
Post a Comment