Naat
Darsgah hai hayat ahmed ki
Man lo saari baat ahmed ki
Hum ko behad sakon milta hai
Jab bhi pardhte hain naat Ahmed ki
khud khuda ne kha Hai quraa'n me
Hai ye sab kaiynat ahmed ki
Shab e hijrat jo soye the haider
Thi bhot khas raat ahmed ki
Kar diye chand ke bhi do tukde
Kitni aala hai Zaat Ahmed ki
Asiya wo be nijat ho jaye
jis ne mani na baat Ahmed ki
Poetry - AsiyaZehra "Asiya"
Lyrics - Sadat Tv Network - STN
ininfrag-ha Chris Swindle https://wakelet.com/wake/nKhEorJTmGug5RJyRVUwM
ReplyDeletenoliryma