Noore khuda hai mera nabi
Rab ki ata hai mera nabi
Kyu nahi is per naaz karu
Sabse bada hai mera nabi
Sakhi ki aamad marhaba
Nabi ki aamad marhaba
Farshe zamee ho chahe falak
Noor hai phela door talak
Aamne ke ghar me aakar
Kehte hen jannat se malak
Sakhi ki amad marhaba
Nabi ki amad marhaba
Arab me aake jahalat ko door kar dala
They be sha'oor unhe baa sha'oor kar dala
Mere rasool ke kirdar or sadaqat ne
Mukhalefeen ke dil me bhi Noor kar dala
Sakhi ki aamad marhaba
Nabi ki aamd marhaba
Ye hasrat hai seene me
Aaye maza tab jeene me
Mujhko ijazat de jo khuda
Jake kahu ye madine me
Sakhi ki amad marhaba
Nabi ki aamad marhaba
Zaate nabi hai sab se juda
Is se hua irfaane khuda
Hanste huye khud kaabe ne
Aaqa ki aamad pa kaha
Saki ki amad marhaba
Nabi ki aamad marhaba
Thi ek budhiya Jo bugz inka dil me paalti thi
Na jane konsi nafrat thi jo nikaalti thi
Wo ek roz nazar jab na aayi aaqa ko
Kidhar gayi hai ye bole Jo kuda daalti thi
Kaha kisi ne hai beemar ya rasul Allah
Hai wo ghamo me giraftaar ya rasul Allah
Ye sunke rab ki ibadat ke waste nikle
Rasool uski ayadat ke waste nikle
Jo dekha budhiya ne aate huye to roke kaha
Samjh gayi tumhe aaqa padhaaiye kalma
Karam se apne jo dushman ko apna karta hai
Mera rasool he dunia me bas akela hai
Maqta
Khush hai yu ABBAS ALI
aaj likhi hai naate nabi
Dhoom machi hai Charo taraf
Jab ye ALI AKBAR ne padhi
Sakhi ki amad marhaba
Nabi ki amad marhaba
Naat Details
Reciter : Ali Akbar Ameen
Poetry : Abbas Sirsivi
Lyrics : Sadat Tv Network - STN
Comments
Post a Comment