NOHA LYRICS
JANAB E FATIMA ZEHRA s.a
●Haye Fatima Zahra, Haye Fatima Zahra
Haye Fatima Zahra, Haye Fatima Zahra
Haye!
● Baad baba ke jo guzri woh Musibat sun lo
Ya Ali , Fatima Zahra Ki , wasiyyat sun lo
Aaj rukhsat ho rhi he tum se Zahra , Ya Ali
● Parda e Shab me meri mayyat uthaana Ya Ali
Aaj rukhsat ho rhi he tum se Zahra , Ya Ali
●Pasliya tori gayi kayse ye batlaungi me
Hashr ke maydaan me bhi is haal me aungi me
Haath pehlu se na tum mera hatana Ya Ali
Aaj rukhsat ho rhi he tum se Zahra , Ya Ali
●Woh musibat aap ne acha huwa dekhi nahi
Ab me seedhe haath se tasbih hi parh sakti nahi
Aysa Qunfuz ne he mara taaziyana Ya Ali
Aaj rukhsat ho rhi he tum se Zahra , Ya Ali
●Kehti he Zainab ye mujhse dekh kar chehra mera
Aap ke rukhsaar par ye neel he kaysa para
Me'ne khaya he tamacha mat batana Ya Ali
Aaj rukhsat ho rhi he tum se Zahra, Ya Ali
● Taziyane ki aziyyat ka uthaana ek taraf
Woh tamache , qatl_e_ Mohsin , dar jalana ek
taraf
Sab se mushkil tha magar darbar jana ya Ali
Aaj rukhsat ho rhi he tum se Zehra , ya Ali
● Jab meri talqeen pardhna yaad kar lena zara
Dar ke gir ne se mera bazu bhi he tuta huwa
Mere shano ko zara dheere hilana Ya Ali
Aaj rukhsat ho rhi he tum se Zehra, Ya Ali
●Chahe Aa jaye qayamat mujh se ye waada karo
Jab talak Maula mere Shabbir ki marzi na ho
Tab talak mera janaza mat uthaana Ya Ali
Aaj rukhsaat ho rhi he tum se Zehra, Ya Ali
● Jab se Aayi hun palat kar fikr he mujh ko yahi
Me toh parde main gayi phir bhi Za,eefa ho gyi
Be_rida darbar he Zainab ko jana Ya Ali
Aaj rukhsaat ho rhi he tum se Zahra, Ya Ali
●Karbala me jab mere mazloom par khanjar chale
Pyaas ke Aalam me wo ghazi ko jab awaaz de
Me bhi aungi waha par, tum bhi aana Ya Ali
Aaj rukhsaat ho rhi he tum se Zahra, Ya Ali
●Haath pehlu par rakhe, boli Takallum Fatima
Me dua krti hun tum aameen keh dena zara
Jald aaye mere Mehdi ka zamana, Ya Ali
Aaj rukhsaat ho rhi he tum se Zehra, Ya Ali
About Noha
Nohakhwan : Mir Hassan Mir
Poetry : Mir Takallum
Lyrics : Sadat Tv Network - STN
Comments
Post a Comment