Ae Madine Waalon Bara Dil Dukhaya Noha Lyrics - Meesum Abbas

 



نوحہ : بڑا دل دکھایا

ایام فاطمیہ 2021


Lyrics:


Ae Madine Waalon Bara Dil Dukhaya


“Thak Gayeen Roke To Khaamosh Hogayeen Zehra, Zakhm Pehlu Mai Liye Aaj Sogayeen Zehra”


1. Batao Ahle Madina Ye Tumne Kya Hai Kiya

Nabi Ki Aaal Se Tumne Nibhaayi Khoob Wafa

Sitam Hai Umme Abiha Ko Tumne Tarpaya

Bulaya Barsare Darbar Haq Bhi Cheen Liya

Binte Mustafa Ko Kyun Lahu Rulaya


2. Vo Beti Naazon Se Paala Jisse Muhammad Ne

Kabhi Na Ghar Se Nikaala JIsse Muhammad Ne

Khadija Banke Sambhaala Jisse Muhammad Ne

Khud Apne Aap Me Dhaala Jisse Muhammad Ne

Nargha e Sitam Me Kyun Usse Bulaya


3. Tumhara Dava Tha Humdard Tum Rasool Ke They

Hadees e Pak Ke Paband Aur Usool Ke They

Tumhi To Sehne Nabuwat Main Misle Phool Ke They

Na Tum Nabi Ke Janaaze Mai Na Batool Ke They

Koi Bhi To Vaada Tumne Na Nibhaya


4. Chalay Gaye Vo Mohabbat Ke Davedaar Kahan

Chalay Gaye Vo Muhammad Ke Janisaar Kahan

Vo Jhoote Log Shariyat Ke Thekedaar Kahan

Kaho Rasool Ki Beti Ka Hai Mazaar Kahan

Qabre Syeda Par Roshni Na Saya


5.  Sanad Ke Tukre Kiye Aur Gawah Jhutlaye

Batool Royeen To Ispe Bhi Aitraaz Aaye

Bus Ek Hujre Mai Rone Ka Izn Tha Haye

Nabi Ki Laadli Beti Ne Dukh Bohot Khaaye

Ta Dum e Shahadat Kis Qadar Sataya


6. Qabre Zehra Se Yahi Aaj Bhi Aati Hai Sada

Kya Sitam Mujhpe Huay Tumko Bataaon Baba

Mere Mohsin Ne Wiladat Ke Evaz Paayi Qaza

Zakhmi Pehlu Ko Liye Karti Rahi Mai Noha

Aag Leke Aaye Aur Ghar Jalaya


Qaala Rasool Allah (saaw)

“Fatimato Baz’atuminni, Faman Aghzabaha, Aghzabani”


7. Ye Hai Hadees e Nabi Kyun Isse Bhulaya Hai

Kisi Ne Fatima Zehra Ko Gar Rulaya Hai

Samajhlo Usne Muhammad Ka Dil Dukhaya Hai

Hain Khafa Payamber, Bus Ye Baat Keh Kar,

Kyun Ghadeer Ki Tarha Ye Qaul Bhi Bhulaya


8. Ali Ko Qaidi Banaya Gaya Madinay Mai

Hasan Ko Zeher Khilaya Gaya Madine Mai

Nabi Ke Ghar Ko Jalaya Gaya Madine Mai

Bughz Ke Jalon Ko, Keena Parwaron Ko

Jab Shaheed Syeda Hueen To Chain Aya


9. Kahan Talak Vo Masayib Bayaan Karai Mesum

Rasool Zaadi Ke Matam Main Sogwaar Hai Hum

Siyah Posh Hai Kaaba Udaas Hai Alam

Farshe Ghum Bichaya, Binte Mustafa Ka,

Mazher Abidi Ne Roke Marsiya Sunaya


La’an Allahu Ala Adu e Keh Ya Fatima

Hai Qatilane Syeda - Jahannumi 

Jinhone Ghar Jaladiya - Jahannumi 

Fidak Ke Chor Ki Saza - Jahannumi 

Muqasire Aza Wila - Jahannumi 


Lanati Hai


Hai Jo Bhi Dushmane Nabi - Jahannumi

Hai Jo Bhi Dushmane Ali - Jahannumi

Mukhalifeen e Matami - Jahannumi

Hai Munqire Aza Sabhi - Jahannumi


Noha: Ae Madine Waalon Bara Dil Dukhaya

👉🏻Reciter: Mesum Abbas 2021

👉🏻Poet: Mazher Abidi  

Comments