Noha Lyrics
Phir Baqaiya ko Hum Banaeingy
Jab Imam e zamana Ayeingy
Qabr Zehra ki Hogi Jab Tameer
Anbiya Sab Bulaye Jayeingy
Sehain e Ummul Baneen Kay Ander
Pani Piyaso Ko Hum Pilaeingy
Qabr e Beemar e karbala Kay Qareeb
Ek Sehain e Shifa Banaeingy
Ishq Baqir Main Aur Sadiq Main
Ek Dar ul Qalam Banaeingy
Yade Qasim Main Qabr e Shabbar Par
Ansoo'n Kay Diye Jayeingy
Hum Baqaiya Main Misle Babe Jawwad
Bara Bab e Karam Banaeingy
Apnay Mola Hasan Ka Dastarkhuwan
Zairo Kay Liye Bichayeingy
Qabr e Zehra Pay Parcham e Abbas
Khud Imam e Zama'n Lagayeingy
Haan Baqaiya Main Phir Takallum o Shams
Kafash Bardari Kar Nay Jayeingy
Nohakhuwan : Mir Hasan Mir
Poetry: Mir Takallum
Lyrics : Sadat Tv Network - STN
Comments
Post a Comment