Mare Gaye Haider e Karrar - 21 Ramzan Noha - Shahadat Imam Ali a.s - Ali Akbar Ameen - Lyrics Noha

  ● ● N O H A  L Y R I C S  ● ●



Masjid Mai Namazi Pay Chali zulm ki Talwar 

Gonji ye sada Maar e Gaye Haider e Karrar 


Sunkar ye khabar Khana e kaba hai azadar 

Gonji ye sada Maar e Gaye Haider e karrar


1)

Jibril ye sir peet ke karte hai munadi

Jo sub ka sahara hai usey Tegh lagadi 

Lo doob gaya khoon mai ab kul ka madadgar


2)

Turbat say ye deti hai sada Fatema Zehra 

Waali Ko Mere Sajda e Maabod Mai Mara

Maari bine muljim ne mere qalb pay Talwar


3)

Fariyado buka karti hai khud masjid e kufa 

Zakhmi hai musalle pay pada sher khuda ka 

Duniya say chala marziye dawar ka kharidar



4)

Hasnain ko seene say lagaegi yateemi

Zehra ke dulharo ko rulaegi yateemi

Bin baap ke hojaengy Abbas e alamdar 



5)

Khalik ne banaya hai jisey saqiye Kausar

Nabiyon ka madadgar vo Islam ka rehbar 

Khush hota tha jo dard ke maro ko hasakar 

Miskino ko khana jo khilata tha barabar 

Hath apna jo rakhta tha yateemo ke saro'n par

Sajde Mai osee roohey shakhawat pay hua waar


6)

Hai zainabo kulsum ke hothon pay ye naale 

Baba Ko Mere EY Mere Allah Bachale

Dene ko yateemi humey taqdeer hai tayyar


7)

Rookh karke baqaiyya ki taraf roti hai Zainab 

Ye kehti hai sir peet ke jaa'n khoti hai Zainab

Amma tere bacche hai masaeb mai giraftar


Maqta

Waiz jo sitam masjid e kufa mai hua hai

Os zulm say akbar ka jigar kaamp raha hai 

Dil rota hai wanniswi Ramzan ko harbar



About Noha
21 Ramzan Noha 2021 - Mare Gaye Haider e Karrar - Ali Akbar Ameen - Shahadat Imam Ali Noha 2021 | Hazrat Ali R.A Ki Shahdat Ka Waqia - Shahadat Imam Ali Noha 2021
New Noha on the Martyrdom of Imam Ali (as) By Ali Akbar Ameen.

Video Details!

Recited | Ali Akbar Ameen
Noha Title | Mare Gaye Haider e Karrar
Poetry | Waiz Sultanpuri
Composition | Raza Shah
Audio | ODS Karachi
Camera | Click 14
Video & Editing | @Azadari Chitora​ (Azmat Haider)
Album | 2021 / 1442H
Islamic Date | 21 Ramzan Shahadat Imam Ali (as) 2021/1442
Video SEO: Samar Jafri

on the Martyrdom of Imam Ali (as), Many condolences to Prophet Muhammad (saww) and Hazrat Fatima Zahra (sa) and especially to Imam e Zamana (AJF).

Video Link


Comments