Lyrics:-
Har saal mere honto pa rehti hai ye Dua
is saal zayereen me Mera bhi naam ho
Zehra ka waasta tumhe sultaane karabal .
is saal zayereen me Mera bhi naam ho
Itna SA mujh ghreeb pe ehsan kijiye
Jannat ko dekhne ki ijazat to dijiye
Bechain hu me aane ko is baar karbala...is saal
Ya rab mashi karu me Jina ki zameen per
Jaau najaf se karbobala arbaeen per
Hatho me leke parchame abbase ba wafa... Is saal
Din ye naseeb hoga bhala Kab ghulam ko
Aakar Jo Dil ka haal sunau imam ko
Aisa na ho ke khawab mere tod de qaza ...is saal
Tum waasta sakina ka karte nhi ho radd
Mujhko bhi de do zayere shabbeer ki sanad
Abbas tum banao Jo fehriste karabala..is saaal
Bhulunga waqt Marg na me is tufail ko
Benul Haram me padhlu duwayen kumail ko
Kar lu wahi pa Beth KE deedar ambiya .. is saal
Jum'aa ki shab Jo de koi Akbar ka waasta
Mene suna hai sunte hen sultaane karbala
To waasta me deta hu Laila KE Chand ka ..is saal
Mazdoor banke ki hai kamayi isi liye
Roti namak se barha khayi isi liye
Ho Jaye abki baar ata rizqe karbala ... Is saal
Ghabra KE Dil ye kehta hai Ghar se nikal chalu
Or rozaye Husain pa me sar KE Bal chalu
Sehne Haram me phir kru matam Husain ka ..is saal
Noore nabi se fatema zehra ke chain se
Keh do habeeb ibne mazahir Husain se
Sarwar ki dosti ka me deta hu waasta .. is saal
Kitni he mushkelaat ho manzoor me karu
Karbal ki sar zameen pa aashoor me karu
Kehta hu dekh dekh KE har ek qaafela ...is saal
ABBAS ki duwaon ko taaseer bakhsh de
Akbar ko is dayar ki tanveer bakhsh de
Kehte hen jald de ghulami ka ab sila...
Is saal zayereen me Mera bhi naam ho
Title - Is Saal Zaireen Main Mera Bhi Naam Ho
New Noha 2021
Related - Zaireen E Karbala | New Noha Karbala 2021/1443
Reciter - Ali Akbar Ameen
Concept & Central Idea - Ali Akbar Ameen
Poetry - Abbas Sirsivi
Translation - Taskeen Jaffry
Composition - Ali Hasan
Arraigned - Raza Shah
Audio - ODS
Edit - Azmat Hyder
Video - @Azadari Chitora
Lyrics - Sadat Tv Network
Album - Muharram 1443/2021
Comments
Post a Comment