Zainab ne kaha ghar to luta aaii hun nana
Zakhmon ke siwa kuch bhi Nahi'n laai hun nana
1 - Chadar to mere sar ki na bach paai hai mujh se
Islam Tumhare Main Bacha Laaii Hun Nana
2 - Jab shaam ke bazar me bai'parda phiri hun
Ruswaai ke aehsaas se tharraai hun nana
3 - Rone se Sakina ke nikal ta tha qaleja
Warna main kisi waqt na ghab'raai hun nana
4 - Wo waqt bhi aya ke tarap te rahe bache
Mai unko dilasa bhi na dai paai hun nana
5 - Ras'si ke nisha'n jo mere bazoo pa pade hain
Wo tum'ko dikhane ke liye aai hun nana
6 - Toh'fai mai jinhein aap ki umnat nai die hain
Nazro'n mai shahido'n ke wo sar laai hun nana
7 - Durrey bhi mere jism pa lagte rahe lekin
Rooii hun na tarpi hun na chillaai hun nana
8 - Rooye na kisi gham main "NAZEER" aap ke aage
Mai is'ke liyein itni dua laai hun nana.
Writer :- Sultanuz Shoara, Janab Meer Nazeer Baqari.
Comments
Post a Comment