Aziyat Ek Jaisi Thi.... 2
Haye Zahra(sa) Haye Sakina(sa)
Haye Zahra(sa)
Mili Dono Ko Ummat Se Aziyat Ek Jaisi Thi
Sakina(sa) Aur Zahra(sa) Ki Musibat Ek Jaisi Thi
Mili Dono Ko Ummat Se Aziyat Ek Jaisi Thi
1) Bana Ghar Ek Ka Yasrab Se Bahar Ghum Me Ahmed Ke
Sakina(sa) Apne Baba Ko Hai Royi Qaid Khane Se
Padar Se Door Rone Ki Bhi Qismat Ek Jaisi Thi
2) Gayi Darbar Jab Zahra(sa) Toh Jhoota Kehke Rulwaya
Sakina(sa) Jab Gayi Darbar Baaghi Kehke Bulwaya
Lagayi Waqt Ke Zaalim Ne Tohmat Ek Jaisi Thi
3) Jawa'n Zahra(sa) Thi Aur Baali Sakina(sa) Chaar Saalo'n Ki
Kamar Kham Hogayi Is Umr Me In Besaharon Ki
Suna Hai Inki Baalo'n Ki Bhi Ranngat Ek Jaisi Thi
4) Rulane Ke Liye Is Zulm Pe Bas Yeh Hi Kaafi Tha
Kahan Woh Paak Se Chehre Kahan Woh Haath Zaalim Ka
Tamache Kha Ke Rukhsaron Ki Halat Ek Jaisi Thi
5) Fadak Cheena Tha Zahra(sa) Ka Sakina(sa) Ke Chine Gauhar
Sakina(sa) Ka Jala Kurta Toh Zahra(sa) Ka Jala Tha Dar
Woh Aatish Ek Jaisi Thi Woh Ghurbat Ek Jaisi Thi
6) Ali Haider(as) Ne Zahra(sa) Ki Lahad Shab Me Banayi Thi
Ali Abid(sa) Ne Bhi Qaidi Bane Mayyat Uthayi Thi
Rahi Dono Janazon Me Jo Shirkat Ek Jaisi
7) Kaha Zahra(sa) Ne Yeh Aaye Na Woh Jisne Jalaya Dar
Sakina(sa) Ne Kaha Aaye Na Woh Jisne Chine Gauhar
Jahan Se Ja Rahe The Jab Wasiyat Ek Jaisi Thi
8) Sakina(sa) Aur Zahra(sa) Me Mila Yeh Rabt Bhi Logo
Samajh Ke Fatema(sa) Aise Sataya Binte Sarwar(as) Ko
Yu'n Lagta Tha Raza Dono Ki Surat Ek Jaisi Thi
Comments
Post a Comment