Apka Ghum Ya Zehra
Ham azadaro ne khayi hai qasam ya zahra
ham na bhoolenge kabhi aap ka gham ya zahra
1.
ashq ankhon se dino raat banayen ge ham
qatl mohsin ka kabhi bhi na bhulayen ge ham
kaon qatil hai zamane ko batayen ge ham
tauk laanat ka laeeno ko pinhayen ge ham
jab talak jism me jaa'n dam me hai dam ya zahra
ham na ............
2
jisne jalta hua darwaza giraya bibi
aap ko jisne bhi ghurbat me rulaya bibi
be khata aap ko jisne bhi sataya bibi
jisne jisne hai sitam aap pe dhaya bibi
laanaten hongi na un logon pe kam ya zahra
ham na...................
3
aap ka haq bhi na lautaya be imano ne
pasliyan aap ki todi hain musalmano ne
zulm dhaya hai bahot waqt ke shaitano ne
aap par haath bhi uthwaya hai haiwano ne
matami bhoolen ge kaise wo sitam ya zahra
ham na...............
4
baap ke sog me ji bhar ke na rone payin
qabr baba na ashqon se bhigone payin
baad baba ke na phir chain se sone payin
phir ghamo se kabhi azad na hone payin
hai azadaron ke dil me ye alam ya zahra
ham na......
5
daagh ummat ne bada sakht diya shahzadi
aap ke dil pe bahot zakhm laga shahzadi
door bachchon se gayi leke qaza shahzadi
raat me aap ka taboot utha shahzadi
hashr tak royenge sar peet ke ham ya zahra
ham na.....
lanatullah ala adu e mustafa
lanatullah ala adu e murtaza
lanatullah ala adu e fatima
aap ko jisne sataya lanatullah hain wo
jisne haq chheen ke khaya lanatullah hain wo
jisne darwaza jalaya lanatullah hain wo
zulm jin logon ne dhaya lanatullah hain wo
jisne naraz kiya aap ko ya shahzadi
na mile gi use laanat se kabhi azadi
Lanatullah udu e fatema.
jisne darbaar me tahreere mohammad phadi
jisne ahmad ke nawason ki gawahi rad ki
ki hai jim logon ne tauheen e rasool e arabi
jisne quraan ke bar aqs zabaan hai kholi
inhi mal'oono ne shaitan ki nusrat ki hai
aise logon pe hi quraan ne laanat ki hai
laanatullah alal kaumizzalemeen
Apki qabr hai veraaan janabe Zehra
Dil tadapta hai na chat hai na koi hai saya
Or us per ye Qayamat ki laga hai pehra
Rone dete nhi zawwaro ko ab Bhi aada
Baad marne ke bhi hen itne sitam ya Zehra
Ham na bhulenge kabhi apka gham ya chehra
Log honey lagey gumrah hidayat dedo
Apne waris ko bus ab jald ijazat dedo
Ab humey unki ziyarat ki saadat dedo
Unka nasir baney akbar ko ye qismat dedo
Rakhlo waiz ki duao ka bharam ya zehra
Humna bulengy kabhi aapka
Comments
Post a Comment