Pehlu Shikasta kardiya aisa batool s.a. Ka - Noha Lyrics - Sahil Jaunpuri
on
Get link
Facebook
X
Pinterest
Email
Other Apps
Pehlu Shikasta kardiya aisa batool(sa) kaMushkil hua hai saans bhi lena batool (sa) ka
1) Tooti hui hai fatema zahra (sa) ki pasliya'n,
Pehlu se haath hai na utha batool (sa) ka
2) Kaisa sitam hai, lagta tha ummat ko nagawaar
Yade rasul e paak (saww) me rona batool (sa) ka
3) Zahra ke baad hogae khamosh Murtuza (as),
Tanha Ali (as) ko kargaya jana batool (sa) ka
4) Ahle aza ko gham ye rulaega hashr tak,
Rokar sanad ke tukde uthana batool (sa) ka
5) Khud kibriya ka sher bhi gham se tadap utha,
Wallah nishane zakhm jo dekha batool (sa) ka6) Mohsin ki shahadat ho bayań kaise momino ,EK Aah! Bhi na kar saka bacha Batool (sa)7) Hota hai zulm aaj bhi shehre rasul (saww) me,
Zalim ne hay dha diya Rauza Batool (sa) ka
8) Aadil Imam e asr (atfs) ka Aalam na puchiye,
Is gham me khoon Rota hai Beta (as) Batool (sa) ka
Noha Details Noha: Pehlu Shikasta Kar Diya Recited by: Sayed Sahil Jaunpuri Kalaam: Aadil Abid Sayeed Soz: Mir Ji Video: Zainabia Channel
Comments
Post a Comment