Kitni Mazloom Hai Zehra Noha Lyrics - Mesum Abbas - 2022

Kitni Mazloom Hai Zehra




Ya Zehra Ya Zehra Ya Zehra Ya Zehra

Phelu Shikasta, Tooti Pasliyan 2x


Haye Ummat Ne Kyu'n Darbar Bulaya


Kitni Mazloom Hai Zehra


1) Bad Rasul Pak Jo Zulm o Sitam Hwey

    Ta Marg Un Ki Ankh Sai Ansu Nahi Rukay

    Ankhon Kai Gird Par Gaye Halkay Batool K

    Yai Zulm Ghair Ne Nahi, Apno Nai Dhaye Thay

    Saadiyan Guzar Di Gai'en Jari Hai Wo Jafa

    Ahl e Aza To Aaj Bh Karty Hain Ye Buka

    Kitni Mazloom Hai Zehra.......


2) Rudad E Gham Sunau Zara Kalma Go Suno

    Tareekh Dai Rahi Hai Gawahi Ye Apko

    Aye Thay Log Aag Lai Kai Dar e Sayeda Pai Jo

    Esai Bh Nahi Thay, Yahoodi Nahi Thay Wo

    Bibi Pe Jab Giraya Dehakta Hua Wo Dar

    Islam Keh Raha Tha Yahi Cheekh Cheekh Kar

    Kitni Mazloom Hai Zehra......


Ya Mazlooma Ya Zehra....

Ya Masooma Ya Zehra....


3) Khamosh BuTurab Thay, Manshaye Kibriya

    Darbar Mai Laaen Kai, Pohanchi Jo Sayeda

    Hassnain Ke Siwa Koi Hamdard Hi Na Tha

    Sub Jan'nisar Hogye Qatil K Hamnawa

    Jo Chor Kar Gye Thay Janaza Rasul Ka

    Kartay Bhala Rasul Ki Beti Se Kya Wafa

    Kitni Mazloom Hai Zehra.......


4) Atharwi'n Baras Mein Uthaye Hain Ye Mahan

    Din Rat Sayeda K Kaleejay Mai Thi Dukhan

    Dekhi Gulo'ey Haider e Karar Mai Rasan

    Roye Hassnain Zainab o Kulsoom Aur Hassan

    Jab Thay Ali Hisar Mai Us Din Ko Roi Hain

    Tanhaiyon Mai Beth Kai Mohsin Ko Roi Hain

    Kitni Mazloom Hai Zehra.......


Ya Mazlooma Ya Zehra

Ya Masooma Ya Zehra


5) Karwat Se Daye'n Janib Kabhi So Nahi Sakin

    Khoo'n Ruk Nahi Raha Tha Jo Zakhmi Huyi Jabee'n

    Tooti Jo Pasliyan, Sakoo'n Tha Kahin Nahi

    Ub Jee Nahi Sakongi Ye Zehra Ko Tha Yaqee'n

    Is Darja Zakhm Tha Ye Kunfaz (L) Ki Zaat Se

    Tasbeeh Parh Na Paye'n Kabhi Seedhe Hath Se

    Kitni Mazloom Hai Zehra.......


6) Ghusl o Kafan Ka Waqt Jo Aya Tha Bakhuda

     Mola Ke Ghar Qayamat e Sughra Huyi Bapa

     Girya Ali Ka Sun K Yai Zainab Nai ki Buka

     Jaa'n SecGuzar Na Jayen Kahin Shair e Kibriya

     Yara'n Raha Na Zabt Ka Rony Lagay Ali

     Phelu Ka Zakhm Daikh Kai Kheny Lagay Ali

     Kitni Mazloom Hai Zehra.......


Ya Mazlooma Ya Zehra

Ya Masooma Ya Zehra


7) Kuch To Batao Logon Rulaya Gaya Hai Kyu'n

   Makhduma e Jaha'n Ko Sataya Gya Hai Kyu'n

   Yai Zulm Bade Marg Bhi Dhaya Gya Hai Kyu'n

   Mayyat Ko Fatima Ki Chupaya Gya Hai Ky

   Chalis Qabar e Zehra Banai Thin Is Liye

   Zehra Ki Qabar Koi Musalma'n Na Daikh Le

   Kitni Mazloom Hai Zehra.......


8) Masmar Qabr e Fatima Zehra Ko Kar Diya

    Jari Hai Phir Bh Zulm Ka Ummat Mai Silsila

    Le Lu Jo Naam E Qatil Zehra To Hai Saza

    Sadiyon K Bad Bhi Hai Wohi Zulm Aur Jafa

    Socha Kabhi Nahi Gha K Yai Din Bh Ayega

    Parhna Hai Jurm Marqad e Zehra s.a Pai Fatehah

    Kitni Mazloom Hai Zehra.......


Ya Mazlooma Ya Zehra

Ya Masooma Ya Zehra


9) Mesum Ke Askh Tera Qalam Mazhar Abidi

    Kar Hi Nahi Sakai'n Ge Baya'n Wo Sitam Kabhi

    Jo Zulm Seh Gai Hai Wo Beti Rasul Ki

    Ta Umar Meri Bibi Azadar Hi Rahi

    Ro kar Hayat Kati Ghamo'n Ki Aseer Nai

    Likha Hai Marsiyae Mai Anees o Dabeer Nai

    Kitni Mazloom Hai Zehra.......


Ya Mazlooma Ya Zehra

Ya Masooma Ya Zehra


Comments

Post a Comment