Zainab ne kaha yad bohtt ayegi baba
Har bat tumhari mujhe tadpayegi baba
Ab kon bhala sar pa mere hath rakhega
Amma ki shabeeh ab se mujhe kon kahega
Lagta hai yateemi mujhe kha jayegi baba
Silwa ke nahi jaoge hasnain ke kapde
Dilwao utho zainabo kulsum ko bunde
Kya eid bhi Ro roke guzar jayegi baba
Jitni bhi ajal deti hai baba tumhe mohlat
Jee bhar ke abhi dekh lo zainab ki ye surat
Phir shame ghareebaa me Nazar aayegi baba
Bas itna batao ke Karu kaise gawara
Yad aayega sar tukdo me taqseem tumhara
Jab masjide kufa pa nazar jayegi baba
Bin apke kis tarha rahungi me jaha me
Halat ye batati hai ke ab ahle jina me
Jaldi mere marne ki khabar aayegi baba
Lagta hai tamanna se bhi mehroom rahungi
Kuch cheez ki hajat jo huyi kis se kis se kahungi
Zainab badi hassas hai sharmayegi baba
Abbas ki shadi pa nazar dhundegi tumko
Or zojaye Abbas bhi jab puchegi tumko
Phir beti tumhari ye Tadap jayegi baba
Tum zinda ho jab tak ye meri jaan hai baqi
Mat chor ke jaao abhi ramzan hai baqi
Tanhayi me iftaar na ho payegi baba
Maqta
ABBAS ! bahate they Ali khoon ke aansu
MOOSA ! jo wo kehti thi dikhate huye bazu
Shano me rasan kya mere bandh jayegi baba
*------------*--------------*
Details:
Title Kalam: Yaad Bohot Ayegi Baba
Reciter: Ali Moosa
Poetry: Jb. Abbas Sirsivi
Composition: Jb. Shehzad Ali Chitta (Lahore)
Camera: Ahmad Hussain (AMU)
Vocal Record: AMU Studio
Chorus: Team KHUDDAM-UZ-ZAHRA s.a
Audio Mixing/Mastering: Studio 92 (Karachi)
Video Editing: 92 Plus (Karachi)
Poster/Thumbnail Design: ZekyDesign2022, Graphicsay(kaif)
Islamic Date: 21 Ramzan Shahadat Imam Ali as 1443H
Special Thanks: Ali Hasan Jafar
Lyrics : Sadat tv Network - STN
Comments
Post a Comment