Aa Gaya Mahe Aza
Ya Hussain Ya Hussain
Hum Azadaro Pe Ye Allaha Ka Ehsaan Hai
Phir Se Wo Din Agaya Jiss Din Pe Jaan Qurban Hai
Muntazir Hum Saal Bhar Jiske Thy Wo Ghum Agaya
Hain Azadaro Ki Ankhe Nam Muharram Agaya
Aagaye Mahe Aza Seene Me Dil Rone laga
Hai Nigaho Me Basi (2) Har Waqt Bass Karbobla
Aagaye Mahe Aza Seene Me Dil Rone laga
Jis Ghadi Nikla Shahe Karbala Ke Ghum Ka Chand
Dekh Kar Rone Lage Ahle Aza Matam Ka Chand
Dil Se Nikli Ya Hussaina (2) Ki sada Besaakhta
Aagaye Mahe Aza Seene Me Dil Rone laga
Har Shehar Har Gau Me Dikhne Lage Kaale Libaas
Dil Azadaro Ka Tadpane Lagi Matam Ki Aas
Jo Watan Se Door Thy (2) Sabne Watan Ka Rukh Kiya
Aagaye Mahe Aza Seene Me Dil Rone laga
Phir Azakhane Saja Kar Roo Rahe Hain Matmi
Farsh Majlis Ka Bicha Ka Roo Rahe Hain Matmi
Padh Rahe Hain Fatima Ke (2) Laal Ka Sab Marsiya
Aagaye Mahe Aza Seene Me Dil Rone laga
Deke Baccho Ko Muharram Me Sadayen Raat Din
Goudh Ke Paalo Se Ye Kehti Hain Maa'en Raat Din
Doodh Ka Haq Farshe Ghum Pe (2) Jaake Kardena Aada
Aagaye Mahe Aza Seene Me Dil Rone laga
Honge Phir Qismat Se Hum Shahe Zaman Ke Mezbaan
Phir Banenge Karbala Wale Hamare Mehmaan
Denge Khidmat Ka Hume (2) Mouqa Janabe Sayeda
Aagaye Mahe Aza Seene Me Dil Rone laga
Phir Juluso Me Karenge Zikr Hum Abbas Ka
Phir Nazar Ayega Lehrata Aalam Abbas Ka
Hum Chalenge Lekr Phir (2) Shahe Zaman Ka Taziya
Aagaye Mahe Aza Seene Me Dil Rone laga
Do Baras Dil Khool Kar Matam Nhi Kar Paye Hum
Haye Jee Bhar Ke Mana Paye Na Hum Pyaso Ka Ghum
Hogai Thi Humse Jaane (2) Kab Kahan Kesi Khata
Aagaye Mahe Aza Seene Me Dil Rone laga
Hogaye Jo Maatmi Duniya Se Rukhsat Ayen Khuda
Qabr Me Unki Bana Dena Ek Aysi Karbala
Ho Jahan Din Raat Matam (2) Fatima Ke Laal Ka
Aagaye Mahe Aza Seene Me Dil Rone laga
Juz Ghame Sarwar Ke Kisi Ghum Se Na Kbhi Choor Ho
Ayen Khuda Farshe Aza Se Hum Kabhi Na Door Ho
Mangte Hain Dil Se Waiz (2) Or Akbar Ye Dua
Aagaye Mahe Aza Seene Me Dil Rone laga
Mola salamt rakhey
ReplyDelete