LYRICS:
HUSSAIN HUSSAIN HUSSAIN
Labbaik Labbaik
Labbaik Labbaik
Imaa'n Ki Hararat Hai, Azadari E HUSSAIN
Islaam Ki Hurmat Ha
Azadari E HUSSAIN
Insaan Ki Zarurat Ha
Azadari E HUSSAIN
ZAINAB Ki Amanat Ha
Azadari E HUSSAIN
Qadam Barhate Raho-HUSSAIN HUSSAI
ALAM Uthate Raho-HUSSAIN HUSSAI
Charagh E Ashk E Aza-HUSSAIN HUSSAAI
Yuhi Jalaye Raho-Yuhi Jalaye Rahegi
Na Andhiyo'n Se Da
Na Zalimo'n Se Dar
Na Hadso'n Se Dar
Na Mushkilo'n Se Dar
ALAM Saja Ke Kaho
Farsh E Ghum Bicha Ke Kaho
ALI Ke Laal Se Ahd E Wafa Nibha Ke Kaho
Tere Gharane Se Wafadari Rahegi
MAULA Sada Teri Azadari Rahegi
1). Hum To Azal Se Hi Azadar Hain MAULA
Majlis o Matam Ke Talabgar Hain MAULA
Ankh Jo Duniya Mein Khuli Dekha Ye Manzar
Ghar Mein Azakhana Sajati Hui Madar
Wirsa Ye Mila HUSSAIN
Ghum Sath Raha HUSSAI
Ye Ashk E Aza HUSSAIN
Matam Ki Sada HUSSAIN
Hashr Talak Ab Ye Talabgaari Rahegi
MAULA Sada Teri Azadari Rahegi
2). Raaho'n Mein Julooso'n Ke Sabilain Bhi Lagaye
Pani Bhi Azadaro Ko Sharbat Bhi Pilayei
Har Saal Teri Hazri Duniya Ko Khilayei
Bachcho Ko Teri Yad Mein Saqqa Bhi Banayei
Khidmat E Aza HUSSAIN
Hai Qarz Bara HUSSAIN
Hai Azm E Wafa HUSSAIN
Ho Sath Tera HUSSAIN
Har Saal Muharram Ki Ye Tayyari Rahegi
Maula Sada Teri Azadari Rahegi
HUSSAIN HUSSAIN YA MAULA
HUSSAIN HUSSAIN YA MAULA
3). Ye Ahle Aza Shan E Aza Aise Barhaye
Har Waqt Azadari Hai Bar Waqt Namzai
Mumkin Hi Nahi Sajde Mein Jab Sar Ko Jhukayei
Aye MAULA Hamain Sajde Tere Yad Na Ayei
Matam Bhi Tera-HUSSAI
Sajda Bhi Tera-HUSSAI
Kaaba Bhi Tera-HUSSAI
Qibla Bhi Tera-HUSSAI
Sath Namazo'n Ke Aza Jari Rahegi
MAULA Sada Teri Azadari Rahegi
4). Humne Wilayat Ka Jab Iqrar Kiya Tha
Binte MOHAMMAD Se Kiya Tha Yahi Wada
Apne Sabhi Ghum To Bhula Denge Magar Hum
Bhool Nahi Sakte Kabhi Majlis O Matam
Is Dil Ki Sada-HUSSAI
Dharkan Ne Kaha-HUSSAI
Seeno'n Mein Raha-HUSSAI
Saanso Mein Basa-HUSSAI
Saanso Mein Har Dam Ye Sada Jaari Rahegi
Maula Sada Teri Azadari Rahegi
HUSSAIN HUSSAIN YA MAULA
HUSSAIN HUSSAIN YA MAULA
5). Humne Jo Bichhaya Hai
Ye Farshe Aza Ka Hai
Sajjad Ki Khwahish Hai
ZAINAB Ki Tamanna Hai
HUSSAIN.
Ye Ashk E Aza Kya Hai
Bakhshish Ka Wasila Hai
Rumal Mein Zehra Ke
Zeenat Ye Hi Banta Hai
Ankho Se Ye Nehre Aza Jaari Rahegi
MAULA Sada Teri Azadari Rahegi
HUSSAIN HUSSAIN YA MAULA
HUSSAIN HUSSAIN YA MAULA
6) Tehzeeb E Azadari Sikhate Hain Azadar
Bachcho Ko Alamdari Sikhate Hain Azadar
Mimbar Se Wafadari Sikhate Hain Azadar
Behno'n Ko Hayadari Sikhate Hain Azadar
Naslo'n Mein Chale-HUSSAI
Ye Dars Tere-HUSSAI
Humne Jo Sune-HUSSAI
Humne Jo Diye-HUSSAI
Yuhi Dilo'n Par Teri Sardari Rahegi
MAULA Sada Teri Azadari Rahegi
7). MAULA Ye TABOOT ALAM JHOOLA AMAARI
Pani Ki Sabilain Bhi Nishani Hai Tumhari
Duldul Ka Julooso'n Mein Safar Ab Bhi Hai Jaari
Kuch Or Nahi Bas Yahi Daulat Hai Hamari
Nisbat Se Teri-HUSSAI
Qismat Ye Mili-HUSSAI
Bhoole Na Kabhi-HUSSAI
Ye Seena Zani-HUSSAI
Humne ALAM Paya Alamdari Rahegi
MAULA Sada Teri Azadari Rahegi
8) MESUM O MAZHAR To Yahi Kehte Rahenge
MAULA Tere Ghum Ke Sabab Jeete Rahenge
Nauhe Teri Yad Mein Hum Parhte Rahenge
Ankh Se Ye Ashk E Aza Behte Rahenge
Bas Ye Hai Dua-HUSSAI
Aye Jo Qaza-HUSSAI
Ho Lab Pe Saja-HUSSAI
Ek Naam Tera-HUSSAI
Jaan Se Barh Kar Ye Hamain Pyari Rahegi
MAULA Sada Teri Azadari Rahegi
Tu Sabka Nigehba
HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN
Tu Natiq E QUR'AAN
HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN
Tu Deen Ki Pehchan
HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN
ZEHRA Ka Dil O Jaa'n
HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN
JAAN HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN HUSSAIN JA
Tu Sabr Ki Deewar
HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN
Tu Zabt Ki Talwaar
HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN
Tu Kufr Pe Yalghar
HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN
Tu Bar Sare Paikar
HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN r r r arAN n n NNan giNNNNeeege giNNNNiiiRIigiNNNN rrarALA gii iai..iiiaiALA i.NNNNmmaha giNNNNnnninALA gi nnnin gi N rrAA igio hoooorooINNN NiNi NiINkikNN HUSSAIN JAAN
Tu Zabt Ki Talwar
HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN
Tu Kufr Pe Yalghar
HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN
Tu Bar Sare Paikaar
HUSSAIN JAAN HUSSAIN JAAN
Comments
Post a Comment