Ye Kis Ki Laash Aba Men Chipa Rahe Hai'n Husain
Rabaab Kiya Tere Asghar Ko La Rahe Hai'n Husain
Main Kaise Khaime'n Men Jaun Rabbab Ke Aage
Khayaal Zahen Men Shayad Ye AaGaya Shah Ke
Thaher Thaher Ke Jo Anso Baha Rahe Hain Husain
Ajeeb Karb Hai Jaari Hai Ankh Se Ansu
Tadap Rahe Hain Tarai Pe Do Kate Bazu
Lahu Sagheer Ka Rukh Par Laga Rahe Hain Husain
Laga Hai Qad Se Bada Teer Mar Gaya Bachcha
Gale Ka Zakhm Hai Gahra Lahu Nahin Rukta
Zamin Ki Khaak Utha Kar Laga Rahe Hain Husain
Hai Karbala Men Ajab Dardo Gham Ka Ye Manzar
Liye Hain Nanhi Si Ek Laash Apne Hathon Par
Khoda Se Wadaye Tifli Nibha Rahe Hain Husain
Tadap Tadap Ke Musibat Men Saath Choor Diya
Meli Na Paani Ki Ek Boond Dam Bhi Tood Diya
Pisar Ke Hath Se Daman Chuda Rahe Hain Husain
Andhera Kar Hi Chuki Thi Judai Akbar Ki
Bachi Hui Thi Jo Binai Wo Bhi Aaj Gai
Ghamon Se Thokaren Maqtal Men Kha Rahe Hain Husain
Koi Bhi Sath Nahin Aalame Musibat Hai
Saja Hai Hai Lashon Se Maqtal Ajerb Ghurbat Hai
Zamin Pa Baith Ke Ansu Baha Rahe Hain Husain
Nadap Ke Nanhin Si Zulfen Sanwarte Hain Kabhi
Lahu Men Duba Hua Chehra Choomte Hain Kabhi
Kabhi Pisar Ko Gale Se Laga Rahe Hain Husain
Hilal Badh Ke Ye Fizza Rabab Se Nolin
Lo Deekh Lo Zara Bibi Ghamon Ka Manzar Bhi
Labon Pa Bain Hain Aur Ladkkada Rahe Hain Husain
Reciter: Mir Shah Rizwan
Poetry: Maulana Mir Hilal Rizvi
Lyrics: Sadat Tv Network - STN
Comments
Post a Comment