Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina - 2
Seeno Me Ghum Ho
Ser pe alam ho
Badhta Qadam Ho
Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karawan - 2
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina - 2
Chalta Rahe Ye Karawan - 2
Seeno Me Ghum Ho
Ser pe alam ho
Badhta Qadam Ho
Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karawan
(1)
Ye Karawan Hai Ehle Aza Ka
Ye Karawan Hai Karbobla Ka
Sir Pe Alam Hai Shahe Wafa Ka
Ye Silsila Hai Shabroraza Ka
Jab Tak Ye Dam Ho
Moula Ka Gham Ho
Ghum Ye Na Kam Ho
Har Ankh Nam Ho
Mashqo Alaam Ho Paasba'n
Chalta Rahe Ye Karawan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina - 2
Seeno Me Ghum Ho
Ser pe alam ho
Badhta Qadam Ho
Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karawan -2
(2)
Iss Karawan Ka Hussain Rehbar
Shamil Hai Isme Sheh Ke Bahattar
Jinno Malak Bhi Chalte Hai Milkar
Shamil Hai Hum bhi Adna Sey Nokar
Bazme Aza Hai
Rahe Wafa Hai
Sbki Sada Hai
Sab Ki Dua Hai
Roshan Rahe Ye Kehkasha
Chalta Rahe Ye Karawan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina - 2
Seeno Me Ghum Ho
Ser pe alam ho
Badhta Qadam Ho
Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karawan - 2
(3)
Salam Hai Tum Par Hussain Walo
Aye Azadro Aye Ghum Gusaro
Ali O Zehra Ke Jaanisaro
Ishqe Nabi Ke Roshan Sitaro
Aye Pursadaro
Aye Soogwaro
Ghazi Ke Pyaro
Sheh ke Dularo
Tum Par Khuda Ho Meharban
Chalta Rahe Ye Karawan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina - 2
Seeno Me Ghum Ho
Ser pe alam ho
Badhta Qadam Ho
Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karawan - 2
(4)
Hussain Moula Ka Qafila Hai
Majliso Matam ka Silsila Hai
Nabi Ke Ghar Ka Ye Tazkira Hai
Hussaniyat Ka Hami Khuda Hai
Ya Rasool Allaha Ya Nabi Allaha
Hum Sabke Aaqa Daman Tumahara
Hussainio Ka Sayebaan
Chalta Rahe Ye Karawan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina - 2
Seeno Me Ghum Ho
Ser pe alam ho
Badhta Qadam Ho
Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karawan - 2
(5)
Hussain Ka Gham Zinda Rahega
Matam Zamana Karta Rahega
Farshe Aza To Bicchta Rahega
Hussaini Parcham Uncha Rahega
Ye Azadari Ya Pursadari
Ghar Ghar Hai Jari Giriya O Zari
Noha Kuna Hai Do Jahan
Chalta Rahe Ye Karawan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina - 2
Seeno Me Ghum Ho
Ser pe alam ho
Badhta Qadam Ho
Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karawan - 2
(6)
Kia Shaan Hogi Iss Karawan Ki
Jab Honge Shamil Imam E Mehdi (ajtf)
Sharfe Ziyarat Hoga Hame Bhi
Matam Bhi Hoga Majlis Bhi Hogi
Hum Denge Pursa Karbobla Ka
Har Bey Khata Ka Har Bey Rida Ka
Moula Bhi Honge Darmiyan
Chalta Rahe Ye Karawan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina - 2
Seeno Me Ghum Ho
Ser pe alam ho
Badhta Qadam Ho
Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karawan
Chalta Rahe Ye Karawan
Ya Moula...
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina - 2
Comments
Post a Comment