Lyrics -
Khaime me aake shah ne jab alvida kaha kohram mach gaya kohram mach gaya
Sar peet peet rone lagi binte murtaza
kohram mach gaya kohram mach gaya
Tha jiska intezar wo sa at qareeb hai
Din dhal raha hai shame museebat qareeb hai
Kuchh der ki hai baat qayamat qareeb hai
Zainab ghareeb bhai ki rukhsat qareeb hai
Maanga ja ma'n ke hatho'n ka kurta sila hua
kohram mach gaya kohram mach gaya
Ek simt ro rahi thi Sakina jhukaye sar
Jate ho baba jaan mujhe kispe chhor kar
Achchhi tarha se aap ko baba hai ye khabar
Soti nahi mai'n aap ka seena na ho agar
Soungi mai'n kaha'n ye sakeena ne jab kaha
kohram mach gaya kohram mach gaya
Sabir ki laadli ho sakeena rahe ye dhyan
Bunde chhinenge howenge zakhmi tumhare kaan
Rassi bandhe gale me to darna na meri jaan
Hai mere sath sath tumhara bhi imtehaan
Ye sunke munh pe baap ke beti ne munh rakha
kohram mach gaya kohram mach gaya
Beti se roke kehne laga fatima ka laal
Rehna phuphi ke paas rakhengi tera khayal
Ghurbat hai tum phuphi se na karna koi sawal
Warna tere padar ko bohat hoyega malal
Phir sar pe hath rakhke jo dene lage dua
kohram mach gaya kohram mach gaya
Rukh zainab e hazi'n ki taraf shah ne kiya
Aghosh me'n bahen ki sakeena ko dediya
Zainab se roke kehne lage shahe karbala
Behna hamari pyari sakeena ko dekhna
Mai'n ran ko jaraha hoo'n ki nazdeek hai qaza
kohram mach gaya kohram mach gaya
Beti ko jab supurde bahen karchuke imam
Ro kar bahen se kehne lage asma maqam
Jana watan jo qaid se chhut kar aye tishnakam
Kehna lahed pe maa'n ki mera akhri salam
Aya jo lab pe fatima zahra ka tazkera
kohram mach gaya kohram mach gaya
Kuchh door hat ke khaime me'n bole shahe zaman
Zahmat na ho to bazu barhao meri bahen
Mai'n bose lu'n waha'n ke bandhegi jaha rasan
Bazu barha ke royi jo hamsheer khstatan
Bhai bahen ke bazu ko jab choomne laga
kohram mach gaya kohram mach gaya
Ye sun ke binte fatima zahra tarap gayi
Boli'n gala barhao bas ab jald ya akhi
Amma ki baat aaj mujhe yaad agayi
Mai'n bose lu'n waha'n ke chalegi jaha'n chhuri
Zainab ne barh ke chooma baradar ka jab gala
kohram mach gaya kohram mach gaya
Abid ke paas aaye shahenshahe behrobar
Munh dekh dekh baap ka rone laga pisar
Bimaar ro ke kehne laga aye mere padar
Jau'n mai razmgah ijazat mile agar
Jab ye suna to shah ne sar ko jhuka liya
kohram mach gaya kohram mach gaya
Sajjad se ye kehne lage shahe karbala
Bewao'n aur yateemo ka ab tum ho asra
Jo mera imtehaan tha sab maine dediya
Aage tera jihaad hai beemare karbala
Beemar beta baap se jisdam juda hua
kohram mach gaya kohram mach gaya
Khaime se bahar aaye jo sultane karbala
Sar ko jhuka ke rone laga aspe bawafa
Ab kis tarha sawar ho zahra ka ladla
Tanhai ke siwa koi yawar nahi bacha
Jab sooe nehr dekh ke ghazi ko di sada
kohram mach gaya kohram mach gaya
Bhai ko tanha dekh ke zainab tarap gayi'n
Roti hui hussain ke nazdeek agayi'n
Aur phir rakab thaam ke boli aye shahe dee'n
Lo mai sawaar karti hoo'n abbas gar nahi
Wayez hua sawar jo zahra ka ladla
kohram mach gaya kohram mach gaya
Comments
Post a Comment