Haye Zahra... 4
Zehra ke qareeb aa ke ye kehne lage haidar
Kis tarha jiyunga me bhala binte payambar
Matla
Roke kehte they Ali dard batana mera
Fatema sath nhi chorke jana mera
Tumko maloom hai dushman hai zamana mera
Fatema sath nhi chorke jana mera
1-Aapke hone se is ghar me badi ronmujhko
Dekh kar ab daro deewar ko royega Ali
Bolo manzoor hai kya ashk bahana mera...
Fatema sath nhi chorke jana mera
2-Zakhm gardan pa lage bhul chuka tha me to
Jitni takleef mili bhul chuka tha me to
Taza ho jayega phir zakhm purana mera .
Fatema sath nhi chorke jana mera
3-Tumko maloom hai zehra meri taqat tum ho
Me hu maulaye jaha'n or meri daulat tum ho
Aaj lut jayega khushiyo ka khazana mera.
Fatema sath nhi chorke jana mera
4-Ab akela hoon payambar bhi mere sath nhi
Tum Nahi Sath To Ye Ghar Bhi Mere Sath Nahi
Tumko zainab ki qasam sath nibhana mera...
Fatema sath nhi chorke jana mera
5-Tum se pehle he me duniya se guzar jaunga
Mere haalaat ye kehte hen ke mar jaunga
Qabr me hoga bohtt jald thikana mera ..
Fatema sath nhi chorke jana mera
6-Maar dalegi faqat itni aziyat mujhko
Koi hamdard nhi hoti ha hairat mujhko
Dar jalane ko chala aaya zamana mera
Fatema sath nhi chorke jana mera
7-Ye bhi to apko ehsas rahega har din
Dekh paya he kahan baap ka chehra mohsin
Dil me sadma ye liye gham na badhana mera ...
Fatema sath nhi chorke jana mera
8-Hai ye maloom Shikam me hai pisar ki mayyat
Ye btao mujhe launga kahan se himmat
Hoga dushwar janazo ko uthana mera ..
Fatema sath nhi chorke ..
9-Maqta ..
Dil ko pakde huye ABBAS ! HASAN or JAFAR
girya karte huye farmate they maula haidar
Gham ke saye me hai aabad thikana mera .
Fatema sath nhi chorke jana mera
Comments
Post a Comment