Matla
Zainab Ka Tha Ye Nauha ..Baba Abhi Na Jaao
Mar Jaungi Me Tanha .. Baba Abhi Na Jaao
Accha Nhi Lagega Dekhungi Ghar Jo Khali
Maahe Siyaam Guzra! Hai Eid Aane Wali
Dena Hai Tumko Tohfa .. Baba Abhi Na Jaaao
Zainab.....
Beti Ki Baat Sun Lo Ae Mere Pyare Baba
Ronaq Bohtt Rahegi Dam Se Tumhare Baba
Ye Eid Sath Karna .. Baba Abhi Na Jaao
Zakhmi Hue Ho Jabse Baithe Ho Kab Sukoo'n Se
Rangeen Hogayi Hai Dadhi Tamam Khoo'n Se
Kar Du Me Saaf Chehra .. Baba Abhi Na Jaao
Eidi Me Betiyo'n Ko Karna Ata Ridayen
Kurte Bana Ke Dena Hasnain Ko Duwayen
Ye Kaam Hai Tumhara .. Baba Abhi Na Jaao
Hote Hen Baap Jaise Andaz Betiyo Ke
Uthte Hen Us Ghadi Tak Bas Naaz Betiyo Ke
Jab Tak Ho Baap Zinda .. Baba Abhi Na Jaao
Bhai Khade Huye Hen In Sab Se Baat Kar Lo
Gham Ki Satayi Apni Zainab Se Baat Kar Lo
Koi Nhi Sahara .. Baba Abhi Na Jaao
Uth'thega Eid Ke Din Yu'n Dard Fir Jigar Me
Amma Ka Pursa Dene Aayenge Laug Ghar Me
Pursa Qubool Karna .. Baba Abhi Na Jaao
Maqta ..
Abbas Aur Moosa Sab Ghar Me Ro Rhe They
Hasnain Bhi Tadap Kar Jaa'n Apni Kho Rhe They
Kehti Thi Jab Wo Dukhya...Baba Abhi Na Jaao
Comments
Post a Comment