Baba ke pass akar .. shabbeer ro rahe hen
Rakkha hai God me sar .. shabbeer ro rhe hen
Itna batao baba Poshak kab silegi
Is eid per mujhe kya eedi nhi milegi
Shere khuda se keh kar .. shabbeer ro rahe hen
Reh reh ke aaj mujh ko yaad aa rhe hen Nana
Amma chali gayi hen tum chor ke na Jana
Dastak hai gham ki dil par .. shabbeer ro rahe hen
Ek hashr ka sama hai binte nabi ke ghar me
Zainab bhi ro Rahi hen ab furqate pidar me
Kulsum or Shabbar .. shabbeer ro rahe hen
Baba chale gaye to iftaar kaise hogi
Koofe me eid jaane is baar kaise hogi
Doobe lahu me manzar .. shabbeer ro rahe hen
Kuch or bhi ziyada ab Dard ho Gaya hai
Khoo'n beh gaya hai itna tan zard ho gaya hai
Gehra hai zakhm sar per .. shabbeer ro rahe hen
Mari hai taigh badh kar sajde me kis layee'n ne
Hatho'n se sar ko pakda firdaus ke maki'n ne
Bhai hasan se milkar .. shabbeer ro rahe hen
Gham dekh ke zami'n ka rone laga falak bhi
matam ke sath girya karne lage malak bhi
Tukdo me bat gya sir .. shabbeer ro rahe hen
Chaa'i hui yateemi Abbas ke hai rukh per
Bikhraye baal aaye baba ke pass shabbar
Do din hue barabar... Shabbeer ro rahe hen
Maqta
Ranjo alam me doobi "ABBAS" hr sada hai
Jaise "AQEEL" koi parde se keh raha hai
Dil ho raha hai muztar....Shabber ro rahe hen
Comments
Post a Comment