10 Muharram Noha Lyrics 2023 | Shimr Ka Khanjar Chalne Wala Hai Noha Lyrics| Shabih Abbas Arfi Nohay 2023






Lyrics:-

Haye Qayamat ka hai ye manzar
Shimr ka khanjar chalne wala hai

Dasht main ek pyase ki gardan par
Shimr ka khanjar chalne wala hai

Karbobala main Peet Rahi hain sar Zahra
Hai ram main dukhiyari madar ka noha
Mera baccha teen dino se hai pyasa
Khoon main dooba hai mere Dil ka tukda
Barpa hai ashoot ye mehshar

Waqt Qayamat ka aya hai zainab par
Haye Ghazab pardesh main hai binte haider
Dekh Rahi hai shimr ke hatho me khanjar
Peet ke apna sar ja kar ek teele par
Kehti hai abbas se ro ro kar

Haye ye kis manzil per qismat layi hai
Na koi beta na koi bhai hai
Dekh Rahi hai jis janib tanhayi hai
Dasht e ghurbat hai Zahra ki jayi hai
Zalim hai bhai ke seene par

Dekh ke aada ko ghabrati hai zainab
Khoon ke aansu aaj bahatai hai zainab
Maqtal main awaz lagati hai zainab
Ghazi ko dariya se bulati hai zainab
Kehti hai aaja shere haider

Pehle ja kar patthar se takrata hai
Phir ye sitam be dard sitamgar dhata hai
Shimr hawa main khanjar ko lehrata hai
Char baras ki bacchi ko dikhlata hai
Mar na Dale bacchi ko ye dar

Lut jayegi aaj sakina ki duniya
Aaj yateemi se jud jayega rishta
Ab na mayassar hoga baba ka seena
Dhundegi din raat padar ko ab dukhiya
Ab kat jayega baba ka sar

Matamdaro aaj Qayamat ka din hai
Aale Ahmad par ye afat ka din hai
Aye waiz pyason ki sahahadat ka din hai
Zainab aur kulsoom PE ghurbat ka din hai
Chhin jayegi ab sabki chadar

Shmir Ka Khanjar Chalne Wala Hai

Khanjar e shimr chala or qayamat ayi
Gir gyi peet ke sar khaak pe zahra jaayi

Ho gaye zibha shahe karbobalai ran me
Lut gaye fatema zahra ki kamai ran me

Gul hua mara gya fatema zahra ka pisar
Yak ba dod pada khemo ki janib lashkar

Koi kehta ke khemo ko jala do badhkar
Hai kisi ki ye sada loot lo maal o zewar

Koi kehta hai in sab ki ridaye chhino
Badh ke sarwar ki yateema ko tamache maaro

Jis ghadi sayyade sajjad ne ye shor suna
Ya ali keh ke jigar thaam ke beemar uthaa

Di sada kaisi qayamat hai bataye koi
Badhnke parda dare kheme se hataye koi

Jab hata kheme ka parda to ajab manzar tha
Ek maloon ke neze pr sare sarwar tha

Baap ko betr ne jis dam sare neza dekha
Gham ke khanjar se jigar ho gya para para

Gir pade khaak pe sajjad ye jumala keh kar
Mujh se pardes me bichhda mera mazloom pisar

Be raidaee ka aseeri ka zamana aya
Hay ghurbat me yateemi ka zamana aya

Comments