Aye Mere Noor E Nazar Ali Asghar Noha Lyrics | Ali Akbar Ameen Noha Lyrics 2023 | Noha Shehzada Ali Asghar Noha Lyrics
Lyrics
Aye mere noore naza
Aye mere lakhte jigar ali asgar
Tujh pay qurban ye Maa
Ey Mere Rashqe Qamar ali asgar
(1)
Umr bhar khoon rulaega ye sadma tera
Mout hai mere liye mujh say bichadna tera
Ey mere lal meri Jaan basi thi jisme
Milgaya khak mai vo Chand sa chehra tera
Bhoj hai ab mujh par
Zindagi ka ye safar
Ali asgar
(2)
Teer gardan pa teri zulm ka chalte dekha
Sheh ki aagosh mai manka tera dhalte dekha
Subne dekhe hai kai doodh ugalte bacche
Teri madar ne tujhe khoon ugalte dekha
Phat Raha hai gham say
Her ghadi mera jigar
Ali Asgar
(3)
Mai na bhulungi kabhi bhi teri Ghurbata Asghar
Vo teri khoon mai dubi Hui Surat Asghar
Ab mere Dil say vo neza na kabhi niklega
Jisse zalim ne nikali teri mayyat Asghar
Qabr Tak jaungi
Dard mai ye lekar
(4)
Tera nazuk hai badan dhoop kadi hai beta
Tapta sehra hai hawa garm badi hai beta
Pau bhi rakhdey waha koi to chaley pad jaye
Bekafan laash jaha Teri padi hai beta
Teri Maa dekhen bhala
Kis tarha ye manzar Ali Asgar
(5)
Raat din gham mai tere ashq bahaegi maa
Meri jaaN pyas teri bhool na paegi Maa
Jub talak chalte chalti rahegi meri saansEn Asghar
Tujh say wada hai ke saaye ma na jaegi Maa
Kabhi thandha paani
Na piyegi Madar
(6)
Badnazar say jisey her waqt bachakar rakkha
Maine jis lal ko aanchal mai chupakr rakkha
Jissey ek pal bhi juda hokey na rehpati thi
Jisko her waqt kalaje say lagakar rakkha
Mout ne chinliya
Mujh say mera vo pisar
(7)
Jaisey tadpi hon mai is tarha koi na tadpe
YouN kisi maa ki bhari Goud kabhi na ujdey
Jiski qismat mai nahi likkhi hai aulad koi
Tere sadqy mai khuda unki bhi jholi bhar day
Sath mere milkar
Ye dua tu bhi kar
(8)
Os Ghadi KamP utha Arsh Nadeem O Akbar
Maa ne Jiswaqt kaha apne pisar say rokar
Teri Madar Ko ye Ta Umr rahega Sadma
Mai nahi dekh saki teri jawani Asghar
Haaye mitti mai Mila
Meri mehnat ka Samar aliasgar
_END_
Comments
Post a Comment