hussain hussain ya hussain
Zikr Tera hota rahega
hussain hussain ya hussain
Farshe aza per jo azadar hain moula
Fatema Zahra ke taraf daar hain
Jaan lutane ko ye taiyyar hain moula .
Tere ye ghamkhaar wafadar hain moula
Dill me sada basta rahega hussain
hussain ya hussain
Naara yahi lagta rahega hussain
hussain ya hussain
Deene ilahi ko bachaya hai tumhi ne
Apne bhare Ghar ko lutaya hai tumhi ni
Zulm ke bani ko mitaya hai tumhi ne
Shammaye islaam jalaya hai tumhi ne
Dill me sada basta rahega hussain
hussain ya hussain
Naara yahi lagta rahega hussain
hussain ya hussain
Darte nahi mout se ye tere dilawar
Ghar se nikalte Hain kafan sarpe saja ker
Parchame abbas ko hantho me uthaker
Sinazani karte hain ham farsh bicha ker
Dill me sada basta rahega hussain
hussain ya hussain
Naara yahi lagta rahega hussain
hussain ya hussain
Karbobala naam tera leti rahegi
Darse wafa hamko sada deti rahegi
Wada wafa apna yuhi karti rahegi
Khak se wo khake shifa deti rahegi
Dill me sada basta rahega hussain
hussain ya hussain
Nara yahi lagta rahega hussain
hussain ya hussain
Mitne nahi degi hame ab meri taqdeer
Rok nahi sakti hame zulm ki zanjeer
Karbobala ki hai basi aakho'n me tasveer
Aaj har ek dill hai azakhanaye shabbir
Dill me sada basta rahega hussain
hussain ya hussain
Nara yahi lagta rahega hussain
hussain ya hussain
Phaila huwa hai tere dam se hi ujaala
Tum ho sakhi ibne sakhi aiy mere moula
Saara zamana hai azadar tumhara
Milke har ek qoum ne ye dill se pukara
Dill me sada basta rahega hussain
hussain ya hussain
Nara yahi lagta rahega hussain
hussain ya hussain
Rab se dowa karte hain ye Zain wa Azhar
Rouzaye sarwar ka ho didaar moyassar
Leke hame jayega gar Mera moqaddar
Ankho'n se dekhenge waha'n khuld ka manzer
Dill me sada basta rahega hussain
hussain ya hussain
Nara yahi lagta rahega hussain
hussain ya hussain
Nara yahi lagta rahega hussain
hussain ya hussain
Comments
Post a Comment