MAA TERA SHUKRIYA Noha Lyrics | Ali Hasan Jafar Noha Lyrics | Nohay 2023 | Noha 2023



Lyrics
Intro

Ashiqe sayyade abrar banaya tune 
Ibne zehra ka namak khawar banaya tune  
Bhul sakta he nhi me tere ehsano ko -
Mujhko sarwar ka azadar banaya tune 

Maa Tera shukria....2

Har Azadar sare farshe aza kehne laga 
Maa Tera Shukria ...2 
Tarbiyat se hai Teri Dil me ghame shahe huda
Maa Tera Shukria...2


1
Har ghadi nade Ali padhke jawa'n karti thi
Karbala shamo sahar mujhse baya'n karti rahi
Aise pabande Namaz or aza'n karti rhi
Kuch nazar aata nahi maqsade sarwar ke siwa
Maa Tera Shukria..2


2
Bandh ke sar se kafan haq ka sipahi ban kar 
Dushmano ke liye samane tabahi ban kar 
Uttha hu teri sharafat ki gawahi ban kar
Tujh se hai meri aqeedat ke charagho me ziya 
Maa Tera shukria...2


3
Jab bhi beemar hua babe shifa le aayi 
God me leke sare farshe aza le aayi 
Aisa mehsoos hua karbobala le aayi 
Har maraz me mujhe deti hai shifa khake shifa
Maa Tera Shukria...2


4
Har baras 8 moharram ko ye izhaar Kiya 
Ishqe saqqaye sakina me girftaar Kiya
De ke Ghazi ka alam mujhko alamdaar Kiya
Meri rag rag me basaya hai Wafa'on ka khuda.
Maa Tera Shukria...2

Tarbiyat se hai teri Dil me Ghume Shahe huda..


5
Roze aashoor taharat ne asar dikhlaya 
Ishqe shabbeer me sholo'n se guzar kar aaya 
Baade zanjeer zani khoon me jab tar paya  
Di hai seene se laga kar mujhe jeene ki dua 
Maa Tera Shukria...2


6
Roz ghooti me pilayi hai wilayat mujhko 
Loriyo'n me hi sunayi hai shahadat mujhko 
isliye qatile zahra se hai nafrat mujhko 
Saamne mere sada tune tabarra he kiya
Maa Tera shukria ...2


8
Majlise sheh ka tabarruk he khilaya mujhko
Pyas me pani sabeelon ka pilaya mujhko 
Fakhr se jeene ka ehsas dilaya mujhko 
Mujhpe Ghalib Nahi Hoti Hai Zamane Ki Hawa 
Maa Tera Shukria...2


9
Parwarish ne jo teri rang dikhaya madar
Baad marne ke tujhe bhool na paya madar 
Shah ka aisa azadaar banaya madar 
Ashk baraste huye qabr pa bete ne kaha
Maa Tera Shukria...2


11
Maqta
Tere ABBAS ko kehte he'n wakeele zehra
Nauhakhwanu se naam HASAN JAFAR ka 
Har nafas karte he'n ye zikre shahe karbobala 
Parwarish teri hai milti hai jo Zehra ki dua
Maa Tera Shukria...2


Comments