- - L Y R I C S - -
Dhal Gaya Din Vo Takti Rahi Raasta
Haath Se Damane Sabr Jaata Raha
Rukh Kiya Su E Darya Ye Rokar Kaha
Haye Rokar Kaha
Chacha Jaan Paani Nahi Chahye
Meri Pyaas Tu Tum Se Bhadh Kar Nahi
Main Mar Jaaungi Mera Karlo Yaqeen
Mujhe Raas Aayi Na Yeh Sar Zameen
Khuda Ra Na Ab Aur Tarpaaye
Chacha Jaan Paani Nahi Chahye
Nahin Jaane Woh Kaisi Ghadi Aayi Thi
Pidar Se Ijazat Jo Dilvayi Thi
Main Khud Apni Gurbat Se Ghabraayi Thi
Khata Dar Guzar Meri Farmayiye
Chacha Jaan Paani Nahi Chahye
Chacha Yeh Sakina Ka Wada Raha
Ke Ab Al-ataash Ki Na Dongi Sada
Bina Aap Ke Hai Yeh Jeena Saza
Jeeyon Kaise Itna To Batalaiye
Chacha Jaan Paani Nahi Chahye
Sakina Pe Jaan Dene Wale Chacha
Kya Mujhko Kis Ke Hawale Chacha
Bhula Dongi Honton Ke Chhale Chacha
Mujhe Aa Ke Sine Se Lapataiye
Chacha Jaan Paani Nahi Chahye
Khabar Aap Ke Qatl Ki Yun Mili
Mere Baba Jaan Ki Kamar Jhuki
Rida Phank Ke Ro Rahi Hain Phuphi
Yeh Manzar Dekhnay Aaye
Chacha Jaan Paani Nahi Chahye
Chidi Mashk Meri Koi Gham Nahi
Meri Aas Tuti Koi Gham Nahi
Main Pyaasi Rahungi Koi Gham Nahi
Dawa Mere Zakhmon Ki Ban Jaiye
Chacha Jaan Paani Nahi Chahye
Yeh Mazhar, Yeh Mesum, Yeh Ahl-e-Aza
Yehi Keh Ke Kartay Hain Matam Bapa
Yeh Jumla Sakina Hai Marsiya
Bas Ab Aap Darya Se Aa Jaiye
Chacha Jaan Paani Nahi Chahye
Comments
Post a Comment