L y r i c s
Dashte Bala me shor hai barpa
Saniye Zahra Ujad gayi hai
1)
Manzar ye dekhkar roega aasman
Bibi ki pusht par durro ke hain Nisha'n
Dar dar phiraya Yun sar barahna
2)
Aaya hai dasht me bewo ka qafila
Jaega sham tak bemaqnao Rida
Charo taraf hai nargaye aada
3)
Majboor hai bahot maqtal me bibiyan
Ye zulm dekhke rota hai aasman
Ahle haram par zulm hai kya kya
4)
chadar bhi chin gai khaime bhi jal gaye
Bache bhi shah ke sab qaid ho gaye
Ho kisse shikwa is bebasi ka
5)
zahra ki god ke paale nahi rahe
zainab ke chahne wale nahi rahe
Gham is qadar hai tanhaiyon ka
6)
Qasim nahi rahe Akbar nahi rahe
Haye wo bezaban Asghar nahi rahe
Ran me akeli ho gyi dukhiya
7)
Sehmi hui hai baali sakina
Usko Mila na Pani ka qatra
Shimr ne maara usko tamacha
8)
Dekhi nahi gayi zainab ki bekasi
Nazro ke saamne bhai ki laash thi
Shimr ne khanjar sheh par chalaya
9)
Nauhe ki shakl me haidar karo baya'n
Likhi shabab ne jo gham ki dastan
Royegi duniya sunkar ye nauha
Comments
Post a Comment