WATAN KI YAAD LYRICS | Muharram 1445 | Ameer Hasan Amir Noha Lyrics




L Y R I C S

YAAD ATI HAI WATAN KI YAAD ATI HAI
MUHARRAM ME HAME APNE WATAN KI YAAD ATI HAI.
KAREN KIS SE GILA PARDES ME AYE FATEMA ZAHRA

1- AY BIBI MAJLISO MATAM KA MAUSAM ANE WALA HAI

TADAPTE HAIN KI AB MAHE MUHARRAM ANE WALA HAI

GHUTAN HOTI HAI IS PARDES ME AB DIL NAHI LAGTA.- muharram........


2- SADA JAB MAJLISO MATAM KI IN KANON ME ATI HAI
WATAN KI YAAD HMKO KHUN KE ANSU RULATI HAI

TADAP JATA HAI DIL TANHAION ME HAM GARIBON KA- muharram......


3-MANAYN KIS TARAH YE GAM BAHUT MAJBUR HAIN BIBI

FATA JATA HAI DIL APNE WATAN SE DUR HAIN BIBI

LABON PAR DAM BADAM AATA HAI SHAHZADI YEHI FIQRA - muharram............


4-KAREN BHI KIS TARAH KHUL KAR SHAHE WALA KA HM MATAM

MANAYN KIS TARAH PARDES ME UN BEKASON KA GAM

WO GHAR ZINDAAN LAGTA HAI JAHAN MATAM NAHI HOTA -muharram..........


5-TAMANNA THI KI GHAR JAKAR AZAKHANA SAJAYNGE 

ALAM ABBAS KA KHUD AONE HATON SE UTHAYNGE 

CHADHAYNGE JARI KI MASHK PAR FULON KA EK SEHRA -muharram...........


6- ZIARAT KE LIY ASHUR KI SHAB HAM NIKALTE THE 

TO APNE GAON KE HAR TAZIYA KHANE ME JATE THE

KUCH IS ANDAAZ SE DETE THE HM MAZLUM KO PURSA-muharram.............


7-PILATE THE JO HM NAME SAKINA PAR WAHAN PANI

KUCH IS ANDAAZ SE KARTE THE PIYASON KI NIGAHBANI

WATAN ME EHTEMAM IS TARAH KARTE THE SABILON KA -muharram.......................


8-KALEJA HOGA USKI YAAD ME EK BAR FIR ZAKHMI 

UTHEGI JIS GHADI FARWA TUMHARE LAAL KI MEHNDI

KARENGE ZABT KAISE SAATWIN KO HM MERE AAQA- muharram..........


9-MERE MAULA YE SB MAJBURIYAN JEENE NAHI DETIN 

PARAY DES ME YE DURIYAN JEENE NAHI DETIN

BULA LIJE HAME APNE WATAN AB JALD AY MAULA - muharram ...................


10-DUAYN MANGTE HAIN ROZ HAM APNE MUSALLE PAR 

KI HM PARDES SE KAB LAOT KE JAYNGE APNE GHAR

NA JANE KAB SAJAYNGE ALI ASGAR KA GAHWARA - muharram.............



11-BHARA GHAR LUT GAYA ZAHRA KA EK PARDES ME AAKAR

KAHIN ASGAR KI MAIYAT HAI KAHIN HAI LASHAY AKBAR 

BIKHAR KE RAH GAYA DASHTE BALA ME SHAH KA KUNBA -muharram..............


12-NA ROYA HAI (SHABAB )ITNA KABHI PARDES ME KOI

WATAN KI YAAD ME ( AAMIR ) SAKINA JIS QADAR ROI 

WO BACCHI AAJ BHI ZINDAAN ME PADHTI HAI YEHI NAUHA - muharram.........

*------*


Noha Details:
►Reciter - Safeer E Aza, Syed Ameer Hasan Aamir
►Poet - Shabab Jalalpuri
►Chorus - Rizwan Mirza & Team
►Year - 2023/1444 Hijri
►Audio - ODS (Audio Mix & Master Omar Quraishi)
►Video - Azmat Hyder(@AzadariChittora )
►Production - AHA Records 

Comments