Abhi Woh Jang Baaqi Hai
Hukm e khuda ka sirf usse intezaar hai
Tayyar inteqaam ko Dul Dul sawaar hai
Har dushman e Ali ko mitane ke waaste
Parde mei Zulfeqaar bohat beqaraar hai
Liya jaaega jis mei zalimoN se zulm ka badla, Abhi Woh jang baaqi hai
Nazar aaega jismei phir Ali ki tegh ka jalwa,Abhi Woh jang baaqi hai
Fiza mei naara e Haider ki goonjegi sada Har dam
Ziya bakshega aakhoN ko sakhi Abbas ka parcham
Nazar aaenge jis lashkar ke pehli saf mei khud Isa, Abhi Woh jang baaqi hai
Ali ke dushmano par tang hoo jaaegi yeh dunya
Na inko yeh zameeN legi na inko asmaaN lega
Ali ka bughz inko jismei dozakh leke jaaega, Abhi Woh jang baaqi hai
Faqat imaan hii insaan ka meyaar tolega
Koi ek lafz bhi daulat ki taakat se na bolega
Dikhai dega har ek be amal jis daur mei gunga, Abhi Woh jang baaqi hai
Qayamat khud pukaregi yehi asli qayamat hai
Adalat yeh sada degi yehi sachchi adalat hai
Qayamat hogi jis mei adl se hoga har ek hamla, Abhi Woh jang baaqi hai
Lahad mei bhi sitamgar haibat e Mehdi se jaagenge
Nikal kar apni qabroN se fidak ke chor baagenge
Har ek hamle se pehle naam jismei hoga Mohsin ka, Abhi Woh jang baaqi hai
Qayamat karbala mei baD ke Zainab ne jo roki hai
Jo ban kar aag ab tak seena e Ghazi mei theri hai
Sakina ke chacha ka jis mei sab armaan niklega, abhi woh jang baaki hai
Bandhi hai mashk jis mei aaj bhi pyaasi batiji ki
Ussi parcham tale Abbas ki talwaar chamkegi
Na bach paaega jis mei koi bhi mujrim Sakina ka, abhi woh jang baaqi hai
Janab e Sayyada par haath jisne bhi uthaya hai
Woh jisne be khata binte Payambar ko rulaya hai
Ali ka sher jis mei unki qabreiN chaak kar dega, abhi woh jang baaki hai
AzadaroN ke hoo jaaenge poore uss ghaDi armaaN
BaDega suwe Yasrab maatami dastoN ka jab toofaN
Baqayya mei banega baad jiske Rauza e Zahra, Abhi Woh jang baaqi hai
Surani dekh loo har daur mei iss qaum ke jazbe
Ay Akbar hote hai mazloom sabir isliye itne
BaData hai har ek mazloom ki himmat ko yeh fiqra, Abhi Woh jang baaqi hain
Comments
Post a Comment